Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya gharaz is se kisi ko kitna hai dil-gir kaun

Jan Kashmiri

kya gharaz is se kisi ko kitna hai dil-gir kaun

Jan Kashmiri

MORE BYJan Kashmiri

    kyā ġharaz is se kisī ko kitnā hai dil-gīr kaun

    dekhnā hai ye pahan kar mar gayā zanjīr kaun

    log sharmāte haiñ kyoñ sar par use rakhte hue

    le gayā hai chhīn kar dastār tauqīr kaun

    peT majbūriyāñ fankār tak bhī aa ga.iiñ

    varna dilbar banā kar bechtā tasvīr kaun

    merī āñkhoñ ke darīche ḳhuun meñ tar ho ga.e

    ḳhuun meñ tar ḳhvāb batlā.egā ta.abīr kaun

    is farishtoñ ke jahāñ meñ sirf maiñ insān huuñ

    hotā phir mere alāva qā.il-e-taqsīr kaun

    har kisī ko dastaras hai gardish-e-ayyām tak

    maut ke andhe safar khīñchtā tasvīr kaun

    kis ko fursat hai yahāñ ḳhud-ehtisābī ke liye

    dekhtā hai 'jān' apnī aañkh shahtīr kaun

    kya gharaz is se kisi ko kitna hai dil-gir kaun

    dekhna hai ye pahan kar mar gaya zanjir kaun

    log sharmate hain kyon sar par use rakhte hue

    le gaya hai chhin kar dastar ki tauqir kaun

    peT ki majburiyan fankar tak bhi aa gain

    warna dilbar ki bana kar bechta taswir kaun

    meri aankhon ke dariche KHun mein tar ho gae

    KHun mein tar KHwab ki batlaega tabir kaun

    is farishton ke jahan mein sirf main insan hun

    hota phir mere alawa qail-e-taqsir kaun

    har kisi ko dastaras hai gardish-e-ayyam tak

    maut ke andhe safar ki khinchta taswir kaun

    kis ko fursat hai yahan KHud-ehtisabi ke liye

    dekhta hai 'jaan' apni aankh ka shahtir kaun

    Source:

    Airaf (Pg. 111)

    • Author: Jan Kashmiri
      • Publisher: Maktaba-e-Qirtas, Pakistan
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now