kya hua koi sochta bhi nahin

Yasmeen Hameed

kya hua koi sochta bhi nahin

Yasmeen Hameed

MORE BYYasmeen Hameed

  kyā huā koī sochtā bhī nahīñ

  aur kahne ko kuchh huā bhī nahīñ

  jaise gum ho ga.ī shanāḳht mirī

  ab koī mujh ko DhūñDhtā bhī nahīñ

  jis se rahne lage gile mujh ko

  vo abhī mujh ko jāntā bhī nahīñ

  aisā ḳhāmosh bhī nahīñ lagtā

  aur kuchh muñh se boltā bhī nahīñ

  chāhtā hai javāb bhī saare

  aur kuchh mujh se pūchhtā bhī nahīñ

  mustarad bhī kabhī nahīñ kartā

  vo mirī baat māntā bhī nahīñ

  daad detā hai jītne pe mujhe

  aur kabhī mujh se hārtā bhī nahīñ

  ḳhvāb tak mere chhīn letā hai

  aur kuchh mujh se māñgtā bhī nahīñ

  us taraf sab charāġh jalte haiñ

  jis taraf koī rāsta bhī nahīñ

  raat din par muhīt hai to rahe

  raushnī koī chāhtā bhī nahīñ

  Dūbte āftāb jānib

  der tak koī dekhtā bhī nahīñ

  kya hua koi sochta bhi nahin

  aur kahne ko kuchh hua bhi nahin

  jaise gum ho gai shanaKHt meri

  ab koi mujh ko DhunDhta bhi nahin

  jis se rahne lage gile mujh ko

  wo abhi mujh ko jaanta bhi nahin

  aisa KHamosh bhi nahin lagta

  aur kuchh munh se bolta bhi nahin

  chahta hai jawab bhi sare

  aur kuchh mujh se puchhta bhi nahin

  mustarad bhi kabhi nahin karta

  wo meri baat manta bhi nahin

  dad deta hai jitne pe mujhe

  aur kabhi mujh se haarta bhi nahin

  KHwab tak mere chhin leta hai

  aur kuchh mujh se mangta bhi nahin

  us taraf sab charagh jalte hain

  jis taraf koi rasta bhi nahin

  raat din par muhit hai to rahe

  raushni koi chahta bhi nahin

  Dubte aaftab ki jaanib

  der tak koi dekhta bhi nahin

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY