Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya hua rangini-e-subh-o-masa baqi nahin

Habab Hashmi

kya hua rangini-e-subh-o-masa baqi nahin

Habab Hashmi

MORE BYHabab Hashmi

    kyā huā rañgīnī-e-sub.h-o-masā baaqī nahīñ

    apne ghar meñ vo pahlī fazā baaqī nahīñ

    ārzūoñ koī bhī silsila baaqī nahīñ

    mas.ala ye hai ki koī mas.ala baaqī nahīñ

    aa gayā hai ab savā neze pe dekho āftāb

    apnā saaya bhī zamīñ par zer-e-pā baaqī nahīñ

    manzileñ āvāz detī haiñ ki ham haiñ muntazir

    qāfile vāloñ meñ lekin hausle baaqī nahīñ

    be-mahābā us ke aane natīja ye huā

    ā.ina-ḳhāne meñ koī aa.ina baaqī nahīñ

    kitnī mashshāqī se us ne saaf do TukḌe kiye

    jism meñ ab ek bhī tasma lagā baaqī nahīñ

    ham to chhoḌ aa.e the gahre naqsh rāhoñ meñ 'habāb'

    vā.e-hasrat ek bhī ab naqsh-e-pā baaqī nahīñ

    kya hua rangini-e-subh-o-masa baqi nahin

    apne hi ghar mein wo pahli si faza baqi nahin

    aarzuon ka koi bhi silsila baqi nahin

    masala ye hai ki koi masala baqi nahin

    aa gaya hai ab sawa neze pe dekho aaftab

    apna saya bhi zamin par zer-e-pa baqi nahin

    manzilen aawaz deti hain ki hum hain muntazir

    qafile walon mein lekin hausle baqi nahin

    be-mahaba us ke aane ka natija ye hua

    aaina-KHane mein koi aaina baqi nahin

    kitni mashshaqi se us ne saf do TukDe kiye

    jism mein ab ek bhi tasma laga baqi nahin

    hum to chhoD aae the gahre naqsh rahon mein 'habab'

    wae-hasrat ek bhi ab naqsh-e-pa baqi nahin

    Source:

    Shikasht-e-Harf (Pg. 134)

    • Author: Habab Hashmi
      • Publisher: Habab Hashmi
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now