kya jaane kis KHayal mein kis ehtimal mein
kyā jaane kis ḳhayāl meñ kis ehtimāl meñ
do din mile the baañT diye māh-o-sāl meñ
sūraj ġhurūb hone lagā dekhte raho
manzar ye ḳhush-gavār bahut hai zavāl meñ
bas ek she'r par ye tamāshā ye hāo-hū
ye haal hai to aag lagā dūñgā hall meñ
gardan jhukā.e saath liye be-hisī kī soch
shāmil na ho sakūñgā kisī bheḌ-chāl meñ
shāyad isī kā naam global village hai
jaise ka.ī parind kisī ek jaal meñ
shādī se pahle jaise valīma kisī kā ho
is vaqt phañs gayā huuñ kuchh aise vabāl meñ
ye peḌ ye pahāḌ ye paude ye phuul phal
kyā kyā kamāl pesh hue haiñ misāl meñ
be-shak ḳhudā kā fazl-o-karam hai 'nishāt' par
hai munfarid kalām meñ yaktā kamāl meñ
kya jaane kis KHayal mein kis ehtimal mein
do din mile the banT diye mah-o-sal mein
suraj ghurub hone laga dekhte raho
manzar ye KHush-gawar bahut hai zawal mein
bas ek she'r par ye tamasha ye hao-hu
ye haal hai to aag laga dunga hall mein
gardan jhukae sath liye be-hisi ki soch
shamil na ho sakunga kisi bheD-chaal mein
shayad isi ka nam global willage hai
jaise kai parind kisi ek jal mein
shadi se pahle jaise walima kisi ka ho
is waqt phans gaya hun kuchh aise wabaal mein
ye peD ye pahaD ye paude ye phul phal
kya kya kamal pesh hue hain misal mein
be-shak KHuda ka fazl-o-karam hai 'nishat' par
hai munfarid kalam mein yakta kamal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.