Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya kahen yaro kya kya hum par ishq KHarabi laya hai

Shahab Ashraf

kya kahen yaro kya kya hum par ishq KHarabi laya hai

Shahab Ashraf

MORE BYShahab Ashraf

    kyā kaheñ yaaro kyā kyā ham par ishq ḳharābī laayā hai

    aañkh se le kar dil tak jaise ik dhundalkā chhāyā hai

    jaise dhanak ākāsh pe nikle bādal ke chhaT jaane par

    yuuñ tere ġham meñ ro kar vaqt suhānā aayā hai

    merī baat na sunñe vaale pūchh is se haal mirā

    aañsū ek fasāna ban ke palkoñ par tharrāyā hai

    biit ga.ī hai dil pe qayāmat lab pe shikāyat na sake

    aap ko kyā ma.alūm ki ham ne jaan ke dhokā khāyā hai

    merī ġhazal ke ā.īne meñ dekh ke apnā rang-e-jamāl

    kis kis naaz se sar ko jhukā kar kyā kyā vo sharmāyā hai

    raat hasīnoñ ke jamghaT meñ kyā kyā naaz ke phuul khile

    sāz-e-tarab chheḌ se lekin aur bhī dil ghabrāyā hai

    raah se terī haT jaane jab bhī ham ne ahd kiyā

    ik ik naqsh-e-qadam ne uTh kar pahroñ hameñ samjhāyā hai

    shāyad ab ke baar to un se sulh na ho is jang ke ba.ad

    ab ke apne aap ko ham ne sanjīda paayā hai

    aisī kyā thī tujh se shikāyat aisā kyā thā tujh se malāl

    aaj tirī adnā ināyat dekh ke dil bhar aayā hai

    kya kahen yaro kya kya hum par ishq KHarabi laya hai

    aankh se le kar dil tak jaise ek dhundalka chhaya hai

    jaise dhanak aakash pe nikle baadal ke chhaT jaane par

    yun hi tere gham mein ro kar waqt suhana aaya hai

    meri baat na sunne wale puchh is se tu haal mera

    aansu ek fasana ban ke palkon par tharraya hai

    bit gai hai dil pe qayamat lab pe shikayat la na sake

    aap ko kya malum ki hum ne jaan ke dhoka khaya hai

    meri ghazal ke aaine mein dekh ke apna rang-e-jamal

    kis kis naz se sar ko jhuka kar kya kya wo sharmaya hai

    raat hasinon ke jamghaT mein kya kya naz ke phul khile

    saz-e-tarab ki chheD se lekin aur bhi dil ghabraya hai

    rah se teri haT jaane ka jab bhi hum ne ahd kiya

    ek ek naqsh-e-qadam ne uTh kar pahron hamein samjhaya hai

    shayad ab ke bar to un se sulh na ho is jang ke baad

    ab ke apne aap ko hum ne sanjida sa paya hai

    aisi kya thi tujh se shikayat aisa kya tha tujh se malal

    aaj teri adna si inayat dekh ke dil bhar aaya hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now