Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya kahun ishq mein kya kya na hua kya hoga

Mohammad Lutfuddin Khan Lutf

kya kahun ishq mein kya kya na hua kya hoga

Mohammad Lutfuddin Khan Lutf

MORE BYMohammad Lutfuddin Khan Lutf

    kyā kahūñ ishq meñ kyā kyā na huā kyā hogā

    aaj zinda huuñ to kyā kal mujhe marnā hogā

    mujh ko aadat ke liye chāhiye duniyā meñ jahīm

    ātishīñ-ruḳh ke muqābil mujhe rahnā hogā

    ḳhvāhish-e-mahfil-e-jānāñ dil-e-nādāñ hai abas

    ki yaqīñ hai ki vahāñ majma-e-ādā hogā

    rāz-e-ulfat na chhupā.egā ye chhupnā terā

    parda-dar ḳhud yahī ik din tirā pardā hogā

    bevafā 'lutf' sahī ġhair vafādār bajā

    is se inkār kise hai bahut achchhā hogā

    kya kahun ishq mein kya kya na hua kya hoga

    aaj zinda hun to kya kal mujhe marna hoga

    mujh ko aadat ke liye chahiye duniya mein jahim

    aatishin-ruKH ke muqabil mujhe rahna hoga

    KHwahish-e-mahfil-e-jaanan dil-e-nadan hai abas

    ki yaqin hai ki wahan majma-e-ada hoga

    raaz-e-ulfat na chhupaega ye chhupna tera

    parda-dar KHud yahi ek din tera parda hoga

    bewafa 'lutf' sahi ghair wafadar baja

    is se inkar kise hai bahut achchha hoga

    Source:

    Lutf-e-Sukhan (Pg. 39)

      • Publisher: Aazam Steam Press, Hyderabad
      • Year of Publication: 1941
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now