kya kahun us se ki jo baat samajhta hi nahin
kyā kahūñ us se ki jo baat samajhtā hī nahīñ
vo to milne ko mulāqāt samajhtā hī nahīñ
ham ne dekhā hai faqat ḳhvāb khulī āñkhoñ se
ḳhvāb thī vasl kī vo raat samajhtā hī nahīñ
maiñ ne pahuñchāyā use jiit ke har ḳhāne meñ
merī baazī thī mirī maat samajhtā hī nahīñ
raat purvā.ī ne us ko bhī jagāyā hogā
raat kyuuñ kaT na sakī raat samajhtā hī nahīñ
shā.erī kā koī andāz samajhtā hai inheñ
vo mohabbat kī rivāyāt samajhtā hī nahīñ
kya kahun us se ki jo baat samajhta hi nahin
wo to milne ko mulaqat samajhta hi nahin
hum ne dekha hai faqat KHwab khuli aankhon se
KHwab thi wasl ki wo raat samajhta hi nahin
main ne pahunchaya use jit ke har KHane mein
meri bazi thi meri mat samajhta hi nahin
raat purwai ne us ko bhi jagaya hoga
raat kyun kaT na saki raat samajhta hi nahin
shaeri ka koi andaz samajhta hai inhen
wo mohabbat ki riwayat samajhta hi nahin
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 168)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.