Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya karun kuchh bhi samajh aata nahin

Mushtaq Singh

kya karun kuchh bhi samajh aata nahin

Mushtaq Singh

MORE BYMushtaq Singh

    kyā karūñ kuchh bhī samajh aatā nahīñ

    vo ḳhayāloñ se mire jaatā nahīñ

    kyā ḳhabar chehra kahāñ vo kho gayā

    ḳhvāb meñ bhī jo nazar aatā nahīñ

    raat jugnū chāñd-tāroñ hujūm

    dil pareshāñ chain kyuuñ paatā nahīñ

    koī sūraj apne dāman meñ liye

    ḳhvāb-e-fardā nishāñ aatā nahīñ

    barf zehnoñ meñ jamī hai is qadar

    hādsoñ Dar bhī garmātā nahīñ

    is qadar dhuñdlā gayā hai aa.ina

    koī bhī chehra nazar aatā nahīñ

    kis liye un ke tasavvur tilism

    ab dil-e-'mushtāq' bahlātā nahīñ

    kya karun kuchh bhi samajh aata nahin

    wo KHayalon se mere jata nahin

    kya KHabar chehra kahan wo kho gaya

    KHwab mein bhi jo nazar aata nahin

    raat jugnu chand-taron ka hujum

    dil pareshan chain kyun pata nahin

    koi suraj apne daman mein liye

    KHwab-e-farda ka nishan aata nahin

    barf zehnon mein jami hai is qadar

    hadson ka Dar bhi garmata nahin

    is qadar dhundla gaya hai aaina

    koi bhi chehra nazar aata nahin

    kis liye un ke tasawwur ka tilism

    ab dil-e-'mushtaq' bahlata nahin

    Source:

    Chandni Chowk Ki Ek Sham (Pg. 52)

    • Author: Mushtaq Singh
      • Edition: 2010
      • Publisher: Halqa-e-Arbab-e-Adab, Bhopal
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now