kya KHabar kah diya kya aapne diwane se
kya KHabar kah diya kya aapne diwane se
Mirza Qadir Bakhsh Sabir Dehlavi
MORE BYMirza Qadir Bakhsh Sabir Dehlavi
kyā ḳhabar kah diyā kyā aap ne dīvāne se
ab dil-e-vahshī bahaltā nahīñ bahlāne se
jis ko kuchh rabt hai saaqī tire maiḳhāne se
us ko matlab hai na shīshe se na paimāne se
ham ko thā chain mayassar usī dīvāne se
miT ga.e ham bhī dil-e-zār ke miT jaane se
zindagī miltī hai jis shaḳhs ko mar jaane se
vo samajh saktā hai nāseh tire samjhāne se
kis qadar ranj-o-musībat kā muraqqā huuñ maiñ
kaañp uThtā hai mirā dil tirī yaad aane se
ye nasīhat to bajā nāseh-e-mushfiq lekin
koī dīvāna samajhtā bhī hai samjhāne se
sāmne aao haTā do ruḳh-e-zebā se naqāb
koī parda bhī kiyā kartā hai dīvāne se
ham ne ye kah ke dil-e-zār ko samjhāyā hai
kaam bante haiñ kahīñ ishq meñ ghabrāne se
merī jam.īyat-e-ḳhātir ko pareshāñ na karo
zulf-e-barham ko haTāo na abhī shāne se
aap ke zulm ko bhī maiñ ne karam samjhā hai
sharm aatī hai mujhe aap ke sharmāne se
kyā ḳhabar ishq meñ anjām mirā kyā hogā
ab yagāne bhī nazar aate haiñ begāne se
dil dukhāne kā to anjām burā hotā hai
ḳhud taḌap jā.egā zālim mire taḌpāne se
allah allāh ye bīmār-e-mohabbat kā ilaaj
rang badlā tire dāman kī havā khāne se
jaate jaate mirī kaifiyyat-e-dil dekhtā jā
mujh pe kyā guzregī ai dost tire jaane se
kyā kareñ jī ke ye jiinā bhī koī jiinā hai
jab hayāt-e-abadī miltī hai mar jaane se
kya KHabar kah diya kya aap ne diwane se
ab dil-e-wahshi bahalta nahin bahlane se
jis ko kuchh rabt hai saqi tere maiKHane se
us ko matlab hai na shishe se na paimane se
hum ko tha chain mayassar usi diwane se
miT gae hum bhi dil-e-zar ke miT jaane se
zindagi milti hai jis shaKHs ko mar jaane se
wo samajh sakta hai naseh tere samjhane se
kis qadar ranj-o-musibat ka muraqqa hun main
kanp uThta hai mera dil teri yaad aane se
ye nasihat to baja naseh-e-mushfiq lekin
koi diwana samajhta bhi hai samjhane se
samne aao haTa do ruKH-e-zeba se naqab
koi parda bhi kiya karta hai diwane se
hum ne ye kah ke dil-e-zar ko samjhaya hai
kaam bante hain kahin ishq mein ghabrane se
meri jamiyat-e-KHatir ko pareshan na karo
zulf-e-barham ko haTao na abhi shane se
aap ke zulm ko bhi main ne karam samjha hai
sharm aati hai mujhe aap ke sharmane se
kya KHabar ishq mein anjam mera kya hoga
ab yagane bhi nazar aate hain begane se
dil dukhane ka to anjam bura hota hai
KHud taDap jaega zalim mere taDpane se
allah allah ye bimar-e-mohabbat ka ilaj
rang badla tere daman ki hawa khane se
jate jate meri kaifiyyat-e-dil dekhta ja
mujh pe kya guzregi ai dost tere jaane se
kya karen ji ke ye jina bhi koi jina hai
jab hayat-e-abadi milti hai mar jaane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.