Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya koi taswir ban sakti hai surat ke baghair

Faheem Jogapuri

kya koi taswir ban sakti hai surat ke baghair

Faheem Jogapuri

MORE BYFaheem Jogapuri

    kyā koī tasvīr ban saktī hai sūrat ke baġhair

    phir kisī se kyuuñ mile koī zarūrat ke baġhair

    dushmanī to chāhne intihā naam hai

    ye kahānī bhī adhūrī hai mohabbat ke baġhair

    terī yādeñ ho ga.iiñ jaise muqaddas āyateñ

    chain aatā nahīñ dil ko tilāvat ke baġhair

    dhuup har saañs ginte shaam tak jo aa ga.e

    chhāñv meñ vo kyā ji.eñ jiine aadat ke baġhair

    bach gayā dāman agar mere lahū ke daaġh se

    vo mirā qātil to mar jā.egā shohrat ke baġhair

    us sardārī se ab inkār karnā chāhiye

    raushnī detā nahīñ sūraj siyāsat ke baġhair

    husn dūkān ho ki ishq bāzār ho

    yaañ koī saudā nahīñ hai dil daulat ke baġhair

    shabnamī chehra chhupā.ūñ kaise bachchoñ se 'fahīm'

    shaam aatī nahīñ ghar meñ tahārat ke baġhair

    kya koi taswir ban sakti hai surat ke baghair

    phir kisi se kyun mile koi zarurat ke baghair

    dushmani to chahne ki intiha ka nam hai

    ye kahani bhi adhuri hai mohabbat ke baghair

    teri yaaden ho gain jaise muqaddas aayaten

    chain aata hi nahin dil ko tilawat ke baghair

    dhup ki har sans ginte sham tak jo aa gae

    chhanw mein wo kya jien jine ki aadat ke baghair

    bach gaya daman agar mere lahu ke dagh se

    wo mera qatil to mar jaega shohrat ke baghair

    us ki sardari se ab inkar karna chahiye

    raushni deta nahin suraj siyasat ke baghair

    husn ki dukan ho ki ishq ka bazar ho

    yan koi sauda nahin hai dil ki daulat ke baghair

    shabnami chehra chhupaun kaise bachchon se 'fahim'

    sham aati hi nahin ghar mein tahaarat ke baghair

    Source:

    Adhoori Baat (Pg. 76)

    • Author: Faheem Jogapuri
      • Edition: 2009
      • Publisher: Rehmania Foundation, Azad Nagar, Bihar
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now