Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya kya badal gae hain andaz aadmi ke

Nasreen Naqqash

kya kya badal gae hain andaz aadmi ke

Nasreen Naqqash

MORE BYNasreen Naqqash

    kyā kyā badal ga.e haiñ andāz aadmī ke

    paisa ab ḳhudā hai parde meñ bandagī ke

    office meñ laTe aanā pahchān afsaroñ

    aur qisse chheḌte haiñ daftar meñ dil-lagī ke

    rishvat ko haq samajh kar bharte haiñ jeb apnī

    har tarah kar rahe haiñ sāmān behtarī ke

    haiñ be-zamīr phir bhī da.avā hai leaderī

    ab vote māñgte haiñ tālib haiñ membarī ke

    bas naam rah gayā hai insāf ab kahāñ hai

    haq apnā kis se māñgeñ mazlūm is sadī ke

    afsāne nekiyoñ ke be-jān ho rahe haiñ

    mansūbe ban rahe haiñ ab chaar badī ke

    kyā inqalāb aayā badlī havā kuchh aisī

    beTe bane minister imrān mistirī ke

    vaa.iz bhī āj-kal ke mai-ḳhvār ho ga.e haiñ

    dete haiñ va.az ham ko aksar sharāb ke

    qismat se vo hamāre hukkām ban ga.e haiñ

    hote the roz charche jin sitamgarī ke

    bantī thī pahle sabzī ghī baghār de kar

    sabzī se ban rahe haiñ ab Dabbe roz ghī ke

    vo kaun hai jo baḌh kar āvāz-e-haq uThā.e

    sab sūrmā bane haiñ unvān-e-buzdilī ke

    kya kya badal gae hain andaz aadmi ke

    paisa hi ab KHuda hai parde mein bandagi ke

    office mein laTe aana pahchan afsaron ki

    aur qisse chheDte hain daftar mein dil-lagi ke

    rishwat ko haq samajh kar bharte hain jeb apni

    har tarah kar rahe hain saman behtari ke

    hain be-zamir phir bhi dawa hai leaderi ka

    ab wote mangte hain talib hain membari ke

    bas nam rah gaya hai insaf ab kahan hai

    haq apna kis se mangen mazlum is sadi ke

    afsane nekiyon ke be-jaan ho rahe hain

    mansube ban rahe hain ab chaar su badi ke

    kya inqalab aaya badli hawa kuchh aisi

    beTe bane minister imran mistiri ke

    waiz bhi aaj-kal ke mai-KHwar ho gae hain

    dete hain waz hum ko aksar sharab pi ke

    qismat se wo hamare hukkaam ban gae hain

    hote the roz charche jin ki sitamgari ke

    banti thi pahle sabzi ghi ka baghaar de kar

    sabzi se ban rahe hain ab Dabbe roz ghi ke

    wo kaun hai jo baDh kar aawaz-e-haq uThae

    sab surma bane hain unwan-e-buzdili ke

    Source:

    Dasht-e-Tanhayi (Pg. 122)

    • Author: Nasreen Naqqash
      • Publisher: Qasmi Khan Qateel Rajasthani
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now