Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya kya sadaen sunte hain Khaali makan se hum

Ayyub Saleem

kya kya sadaen sunte hain Khaali makan se hum

Ayyub Saleem

MORE BYAyyub Saleem

    kyā kyā sadā.eñ sunte haiñ ḳhālī makāñ se ham

    behtar to ye hai bhaag chaleñ ab yahāñ se ham

    sarsabz vādiyoñ tarah mahv-e-ḳhvāb vo

    aur dhuup meñ jhulaste hue sā.ebāñ se ham

    vo duur āsmān pe chaḌhtī patang

    ik Dor the ki TuuT ga.e darmiyāñ se ham

    rūhoñ ġhol thā ki khaḌā chīḳhtā rahā

    bāhar nikal ke na sake jism-o-jāñ se ham

    ḳhvāhish aag thī ki jalātī rahī hameñ

    tahlīl ho ga.e haiñ fazā meñ dhuāñ se ham

    kya kya sadaen sunte hain KHali makan se hum

    behtar to ye hai bhag chalen ab yahan se hum

    sarsabz wadiyon ki tarah mahw-e-KHwab wo

    aur dhup mein jhulaste hue saeban se hum

    wo dur aasman pe chaDhti patang ki

    ek Dor the ki TuT gae darmiyan se hum

    ruhon ka ghol tha ki khaDa chiKHta raha

    bahar nikal ke ja na sake jism-o-jaan se hum

    KHwahish ki aag thi ki jalati rahi hamein

    tahlil ho gae hain faza mein dhuan se hum

    Source:

    Khwab Samandar (Pg. 57)

    • Author: Ayyub Saleem
      • Publisher: Hadi Publications, New Delhi
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now