Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya main ek harf tha likha yun hi

Ameeta Parsuram Meeta

kya main ek harf tha likha yun hi

Ameeta Parsuram Meeta

MORE BYAmeeta Parsuram Meeta

    kyā maiñ ik harf thā likhā yuuñ

    merā honā bhī bas huā yuuñ

    jāntī huuñ ki tum ko pyaar nahīñ

    yuuñ mujh ko lagā lagā yuuñ

    ik ḳhudā vo baat kartā thā

    aur phir ho gayā ḳhudā yuuñ

    kyā patā kab qubūl ho jaa.e

    bhī to maañg liiñ duā yuuñ

    ek ḳhadsha hai bahke qadmoñ se

    DhūñD leñ na rāsta yuuñ

    vo hamāre the aur ham un ke

    aa ga.ī darmiyāñ anā yuuñ

    tum ne jo kuchh kahā kahā yuuñ

    maiñ ne bhī sun liyā sunā yuuñ

    ek lamhe meñ dil huā un

    ho gayā thā ye faisla yuuñ

    kyā zarūrī hai manziloñ safar

    bhī chal koī rāsta yuuñ

    muḳhtasar hai dāstāñ 'mītā'

    har koī bas jiyā jiyā yuuñ

    kya main ek harf tha likha yun hi

    mera hona bhi bas hua yun hi

    jaanti hun ki tum ko pyar nahin

    yun hi mujh ko laga laga yun hi

    ek KHuda ki wo baat karta tha

    aur phir ho gaya KHuda yun hi

    kya pata kab qubul ho jae

    tu bhi to mang lin dua yun hi

    ek KHadsha hai bahke qadmon se

    DhunD hi len na rasta yun hi

    wo hamare the aur hum un ke

    aa gai darmiyan ana yun hi

    tum ne jo kuchh kaha kaha yun hi

    main ne bhi sun liya suna yun hi

    ek lamhe mein dil hua un ka

    ho gaya tha ye faisla yun hi

    kya zaruri hai manzilon ka safar

    tu bhi chal koi rasta yun hi

    muKHtasar si hai dastan 'mita'

    har koi bas jiya jiya yun hi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now