Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya mera bas hai zabt jo soz-e-jigar na ho

Munshi Banwari Lal Shola

kya mera bas hai zabt jo soz-e-jigar na ho

Munshi Banwari Lal Shola

MORE BYMunshi Banwari Lal Shola

    kyā merā bas hai zabt jo soz-e-jigar na ho

    o sard-mehr aag mirī baat par na ho

    saudā na ho junūñ na ho ḳhanjar Dar na ho

    kitnā subuk ho jism jo gardan pe sar na ho

    chaliye vo raah jis meñ ġham-e-rāhbar na ho

    duniyā se yuuñ uTho ki kisī ko ḳhabar na ho

    kahte ho mujh ko raat ke va.ade pe jaane de

    ye us se kahiye jis ko tumhārī ḳhabar na ho

    tum ko chhupā.ūñ aañkh ke pardoñ meñ raat din

    gar ashk-e-raḳhna-sāz mirā parda-dar na ho

    kya mera bas hai zabt jo soz-e-jigar na ho

    o sard-mehr aag meri baat par na ho

    sauda na ho junun na ho KHanjar ka Dar na ho

    kitna subuk ho jism jo gardan pe sar na ho

    chaliye wo rah jis mein gham-e-rahbar na ho

    duniya se yun uTho ki kisi ko KHabar na ho

    kahte ho mujh ko raat ke wade pe jaane de

    ye us se kahiye jis ko tumhaari KHabar na ho

    tum ko chhupaun aankh ke pardon mein raat din

    gar ashk-e-raKHna-saz mera parda-dar na ho

    Source:

    Kulliyat-e-Shola (Pg. 250)

    • Author: Munshi Banwari Lal Shola
      • Year of Publication: 1924
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now