Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya mila sare jahan ki KHak hum ko chhan kar

Sajjad Mirza

kya mila sare jahan ki KHak hum ko chhan kar

Sajjad Mirza

MORE BYSajjad Mirza

    kyā milā saare jahāñ ḳhaak ham ko chhān kar

    dam-ba-ḳhud baiThe haiñ sannāTe ḳhema taan kar

    fikr ke tābūt meñ sochoñ mayyat le gayā

    ghar se niklā thā vo jaane meñ kyā kyā Thaan kar

    kis qadar gambhīrtā thī us har ik baat meñ

    le gayā merā sukūñ vo merā ghar pahchān kar

    shahr galiyoñ ke patthar dushman-e-jāñ kar liye

    bhuul kar ik gul-badan ko ham ne apnā jaan kar

    jism dīvār se saa.e lipaT kar rah ga.e

    raushnī ai raushnī mujh ko na yuuñ hairān kar

    merī sūrat se mujhe bhī āshnā kar de kabhī

    apne chehre dikhā ke aa.ina ehsān kar

    kaam aa.egā tire 'sajjād-mirzā’ bas yahī

    jis qadar bhī ho sake hāthoñ se apne daan kar

    kya mila sare jahan ki KHak hum ko chhan kar

    dam-ba-KHud baiThe hain sannaTe ka KHema tan kar

    fikr ke tabut mein sochon ki mayyat le gaya

    ghar se nikla tha wo jaane ji mein kya kya Than kar

    kis qadar gambhirta thi us ki har ek baat mein

    le gaya mera sukun wo mera ghar pahchan kar

    shahr ki galiyon ke patthar dushman-e-jaan kar liye

    bhul kar ek gul-badan ko hum ne apna jaan kar

    jism ki diwar se sae lipaT kar rah gae

    raushni ai raushni mujh ko na yun hairan kar

    meri surat se mujhe bhi aashna kar de kabhi

    apne chehre ka dikha ke aaina ehsan kar

    kaam aaega tere 'sajjad-mirza’ bas yahi

    jis qadar bhi ho sake hathon se apne dan kar

    Source:

    Dasht-e-Tanhayi (Pg. 79)

    • Author: Sajjad Mirza
      • Publisher: Mohammad Iqbal Najmi
      • Year of Publication: 1990
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now