aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya phir zamin dil ki namnak ho rahi hai

Obaid Siddiqi

kya phir zamin dil ki namnak ho rahi hai

Obaid Siddiqi

MORE BYObaid Siddiqi

    kyā phir zamīn dil namnāk ho rahī hai

    ik bel aarzū pechāk ho rahī hai

    yalġhār kar rahā hai ik raushnī lashkar

    tārīkiyoñ chādar phir chaak ho rahī hai

    us ko sikhā rahā hai ayyāriyāñ zamāna

    duniyā bhī rafta rafta chālāk ho rahī hai

    us ne banā diyā hai mātam-kada jahāñ ko

    ḳhilqat fasurdagī ḳhūrāk ho rahī hai

    us ke sabab se jiinā dushvār ho gayā hai

    is baat mazammat kyā ḳhaak ho rahī hai

    kya phir zamin dil ki namnak ho rahi hai

    ek bel aarzu ki pechaak ho rahi hai

    yalghaar kar raha hai ek raushni ka lashkar

    tarikiyon ki chadar phir chaak ho rahi hai

    us ko sikha raha hai ayyariyan zamana

    duniya bhi rafta rafta chaalak ho rahi hai

    us ne bana diya hai matam-kada jahan ko

    KHilqat fasurdagi ki KHurak ho rahi hai

    us ke sabab se jina dushwar ho gaya hai

    is baat ki mazammat kya KHak ho rahi hai

    Source:

    Rang hava main phel raha hai (Pg. 112)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now