Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya puchh rahe ho dil-e-bimar ki baaten

Ghamgeen Qureshi

kya puchh rahe ho dil-e-bimar ki baaten

Ghamgeen Qureshi

MORE BYGhamgeen Qureshi

    kyā pūchh rahe ho dil-e-bīmār bāteñ

    kambaḳht samajhtā nahīñ pyaar bāteñ

    sayyād ne sun to baḌhā degā sitam aur

    chheḌo na qafas meñ gul-o-gulzār bāteñ

    āñkhoñ se ravāñ ho gayā ashkoñ samundar

    yaad aa.iiñ jo bichhḌe hue ġham-ḳhvār bāteñ

    har Dūbne vaale ke baḌhāte haiñ marātib

    tūfān ke qisse hoñ ki mañjdhār bāteñ

    'ġhamgīn' mohabbat haqīqat ho vahāñ kyā

    unvān hoñ jis bazm ke hathiyār bāteñ

    kya puchh rahe ho dil-e-bimar ki baaten

    kambaKHt samajhta hi nahin pyar ki baaten

    sayyaad ne sun li to baDha dega sitam aur

    chheDo na qafas mein gul-o-gulzar ki baaten

    aankhon se rawan ho gaya ashkon ka samundar

    yaad aain jo bichhDe hue gham-KHwar ki baaten

    har Dubne wale ke baDhate hain maraatib

    tufan ke qisse hon ki manjdhaar ki baaten

    'ghamgin' mohabbat ki haqiqat ho wahan kya

    unwan hon jis bazm ke hathiyar ki baaten

    Source:

    Dard-o-Gham (Pg. 80)

    • Author: Ghamgeen Qureshi
      • Publisher: Mahbob Press, Deoband
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now