Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya puchhte ho mujhko mohabbat mein kya mila

Raza Jaunpuri

kya puchhte ho mujhko mohabbat mein kya mila

Raza Jaunpuri

MORE BYRaza Jaunpuri

    kyā pūchhte ho mujh ko mohabbat meñ kyā milā

    donoñ-jahāñ dard ba-nām-e-ḳhudā milā

    shāyad yahī hai hāsil-e-pāyān-e-ārzū

    apnā pata nahīñ hai jo un patā milā

    afsāna-e-hayāt takmīl ho ga.ī

    jab un ke silsile se mirā silsila milā

    jab se nahīñ vo naġhma-zan-e-sāz-e-zindagī

    ik ek taar dil mujhe be-sadā milā

    tum kyā mile mizha ke ziyā-bār kū-ba-kū

    parde meñ shab ke sub.h rū-e-safā milā

    har aarzū ek vahī jān-e-ārzū

    har mudda.ā ek vahī mudda.ā milā

    vaj.h-e-davām fitrat-e-ġham nahīñ faqat

    dil bhī azal-tarāz abad-āshnā milā

    kaisī bahār mauja-e-kaif-o-nishāt kyā

    pahlu-e-gul na dāman-e-bād-e-sabā milā

    jannat chamak chamak uThī rañg-o-jamāl

    kis gul aarzū sharaf ai 'razā' milā

    kya puchhte ho mujh ko mohabbat mein kya mila

    donon-jahan ka dard ba-nam-e-KHuda mila

    shayad yahi hai hasil-e-payan-e-arzu

    apna pata nahin hai jo un ka pata mila

    afsana-e-hayat ki takmil ho gai

    jab un ke silsile se mera silsila mila

    jab se nahin wo naghma-zan-e-saz-e-zindagi

    ek ek tar dil ka mujhe be-sada mila

    tum kya mile mizha ke ziya-bar ku-ba-ku

    parde mein shab ke subh ka ru-e-safa mila

    har aarzu ki ek wahi jaan-e-arzu

    har muddaa ka ek wahi muddaa mila

    wajh-e-dawam fitrat-e-gham hi nahin faqat

    dil bhi azal-taraaz abad-ashna mila

    kaisi bahaar mauja-e-kaif-o-nishat kya

    pahlu-e-gul na daman-e-baad-e-saba mila

    jannat chamak chamak uThi rang-o-jamal ki

    kis gul ki aarzu ka sharaf ai 'raza' mila

    Source:

    Zakhma (Pg. 114)

    • Author: Raza Jaunpuri
      • Edition: 1978
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 1978
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now