Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya qahr tha hashim jo na marta koi din aur

Hashim Azimabadi

kya qahr tha hashim jo na marta koi din aur

Hashim Azimabadi

MORE BYHashim Azimabadi

    kyā qahr thā 'hāshim' jo na martā koī din aur

    kartā tirī rahmat tamāshā koī din aur

    be-parda ḳhavātīn be-rāh-ravī par

    bachchoñ tarah phuuT ke rotā koī din aur

    har sub.h ko har shaam ko makkhan dukāñ par

    makkhan milāvaT pe jhagaḌtā koī din aur

    har gaam mahīlāoñ se Takrātā saḌak par

    kahtīñ use jhuñjhlā ke sab andhā koī din aur

    har roz unheñ duur se ā.īna dikhā kar

    rīshā.īlī mullāoñ pe hañstā koī din aur

    miltī na charā-gāh-e-siyāsat meñ agar ghaas

    maidān-e-zarāfat meñ chartā koī din aur

    martā jo na 'hāshim' to qasam zinda-dilī

    hotā tirī duniyā meñ tamāshā koī din aur

    kya qahr tha 'hashim' jo na marta koi din aur

    karta teri rahmat ka tamasha koi din aur

    be-parda KHawatin ki be-rah-rawi par

    bachchon ki tarah phuT ke rota koi din aur

    har subh ko har sham ko makkhan ki dukan par

    makkhan ki milawaT pe jhagaDta koi din aur

    har gam mahilaon se Takraata saDak par

    kahtin use jhunjhla ke sab andha koi din aur

    har roz unhen dur se aaina dikha kar

    rishaili mullaon pe hansta koi din aur

    milti na chara-gah-e-siyasat mein agar ghas

    maidan-e-zarafat mein tu charta koi din aur

    marta jo na 'hashim' to qasam zinda-dili ki

    hota teri duniya mein tamasha koi din aur

    Source:

    Andaz-e-Bayan Aur (Pg. 78)

    • Author: Hashim Azimabadi
      • Publisher: Bihar Urdu Academy, Patna
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now