Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya rafu ho zindagi sozan juda dhage alag

Jawed Adil Sohavi

kya rafu ho zindagi sozan juda dhage alag

Jawed Adil Sohavi

MORE BYJawed Adil Sohavi

    kyā rafū ho zindagī sozan judā dhāge alag

    ḳhvāhish-e-dil ālam-e-imkān se laage alag

    soch ye bhī kabhī ai juzv-e-takmīl-e-vajūd

    jism ho kyā mo'atabar saaya jahāñ laage alag

    kār-e-lā-hāsil nahīñ thī vaqt baḳhiya-garī

    par zamāna kar rahā hai zaḳhm se dhāge alag

    manzil-e-hastī talak to saath ke imkān the

    yuuñ bhī ho jaanā thā kar ik zarā aage alag

    shauq-e-zebā.ish meñ ham ko fikr le aa.ī jahāñ

    ḳhaak putlā jamāl-e-ḳhāk se laage alag

    kyā yahī hai aañkh vaadī meñ basne samar

    do parinde umr bhar taḌpe alag jaage alag

    ḳhāliq-e-husn-e-taḳhayyul huuñ Thikāna hai mirā

    ālam-e-sat.h-e-nazāra se zarā aage alag

    kya rafu ho zindagi sozan juda dhage alag

    KHwahish-e-dil aalam-e-imkan se lage alag

    soch ye bhi tu kabhi ai juzw-e-takmil-e-wajud

    jism ho kya mo'atabar saya jahan lage alag

    kar-e-la-hasil nahin thi waqt ki baKHiya-gari

    par zamana kar raha hai zaKHm se dhage alag

    manzil-e-hasti talak to sath ke imkan the

    yun bhi ho jaana tha ja kar ek zara aage alag

    shauq-e-zebaish mein hum ko fikr le aai jahan

    KHak ka putla jamal-e-KHak se lage alag

    kya yahi hai aankh ki wadi mein basne ka samar

    do parinde umr bhar taDpe alag jage alag

    KHaliq-e-husn-e-taKHayyul hun Thikana hai mera

    aalam-e-sath-e-nazara se zara aage alag

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now