kya rakha hai bhala hawalon mein
kyā rakhā hai bhalā havāloñ meñ
rut badal jā.egī savāloñ meñ
haa.e āñkhoñ kī mastiyāñ terī
hai kahāñ baat ye ġhazāloñ meñ
jab sar-e-shām terī yaad aa.ī
phuul mahke mire ḳhayāloñ meñ
tujh pe pariyāñ bhī rashk kartī haiñ
aisī ḳhushbū hai tere bāloñ meñ
tere ruḳhsār kī chamak tauba
ye to afzal hai sab kamāloñ meñ
ham-safar tum jo merī ho jaao
ziist biite mirī ujāloñ meñ
yaad rakkhegā ye jahāñ 'rahbar'
naam terā sadā havāloñ meñ
kya rakha hai bhala hawalon mein
rut badal jaegi sawalon mein
hae aankhon ki mastiyan teri
hai kahan baat ye ghazalon mein
jab sar-e-sham teri yaad aai
phul mahke mere KHayalon mein
tujh pe pariyan bhi rashk karti hain
aisi KHushbu hai tere baalon mein
tere ruKHsar ki chamak tauba
ye to afzal hai sab kamalon mein
ham-safar tum jo meri ho jao
zist bite meri ujalon mein
yaad rakkhega ye jahan 'rahbar'
nam tera sada hawalon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.