Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya sitam kar gai ai dost teri chashm-e-karam

Ravish Siddiqi

kya sitam kar gai ai dost teri chashm-e-karam

Ravish Siddiqi

MORE BYRavish Siddiqi

    kyā sitam kar ga.ī ai dost tirī chashm-e-karam

    jaise tere nahīñ duniyā ke gunahgār haiñ ham

    koī aalam ho bahar-hāl guzar jaatā hai

    ham na sargashta-e-rāhat haiñ na āshufta-e-ġham

    tirī zulfoñ ghanī chhāñv bahut duur sahī

    jāda-paimā haiñ havādis kaḌī dhuup meñ ham

    nik.hat-e-gul se kuchh is tarah mulāqāt huī

    yaad aayā tirī begāna-vashī aalam

    ham haiñ tūfān-e-malāmat hai galī hai terī

    husn-e-taqdīr se hote haiñ ye hālāt baham

    le gayā ishq kisī shāhid-e-nādīda tak

    muddatoñ zauq-e-parastish ne tarāshe the sanam

    ham ne har uqda-e-dushvār muñh chuum liyā

    kitne dilkash haiñ tirī zulf-e-girah-gīr ke ḳham

    kū-e-qātil sahī manzil-e-rāhat na sahī

    thak ke baiThe haiñ ki aate haiñ bahut duur se ham

    kū-e-jānāñ meñ kahīñ aaj to ham bhī the 'ravish'

    shukr hai ham ko na pahchān sake dair o haram

    kya sitam kar gai ai dost teri chashm-e-karam

    jaise tere nahin duniya ke gunahgar hain hum

    koi aalam ho bahar-haal guzar jata hai

    hum na sargashta-e-rahat hain na aashufta-e-gham

    teri zulfon ki ghani chhanw bahut dur sahi

    jada-paima hain hawadis ki kaDi dhup mein hum

    nikhat-e-gul se kuchh is tarah mulaqat hui

    yaad aaya teri begana-washi ka aalam

    hum hain tufan-e-malamat hai gali hai teri

    husn-e-taqdir se hote hain ye haalat baham

    le gaya ishq kisi shahid-e-nadida tak

    muddaton zauq-e-parastish ne tarashe the sanam

    hum ne har uqda-e-dushwar ka munh chum liya

    kitne dilkash hain teri zulf-e-girah-gir ke KHam

    ku-e-qatil hi sahi manzil-e-rahat na sahi

    thak ke baiThe hain ki aate hain bahut dur se hum

    ku-e-jaanan mein kahin aaj to hum bhi the 'rawish'

    shukr hai hum ko na pahchan sake dair o haram

    RECITATIONS

    Khalid Mubashshir

    Khalid Mubashshir,

    Khalid Mubashshir

    kya sitam kar gai ai dost teri chashm-e-karam Khalid Mubashshir

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now