Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya sunaun dil-e-muztar ka fasana tumko

Maaham Shah

kya sunaun dil-e-muztar ka fasana tumko

Maaham Shah

MORE BYMaaham Shah

    kyā sunā.ūñ dil-e-muztar fasāna tum ko

    maiñ ne chāhā thā kabhī ek zamāna tum ko

    ye jo tum eid pe bhī aate nahīñ lauT ke ghar

    koī chhuTTī nahīñ hotā bahāna tum ko

    bistar-e-marg pe maañ thī to na the sāmne tum

    bahut mahñgā paḌā hai chale jaanā tum ko

    gaañv ke kachche makānoñ meñ ye pakke rishte

    raas aa.egā nahīñ shahr khānā tum ko

    har mahīne ye na.e note ye ḳhat kyā matlab

    na manāo nahīñ aatā hai manānā tum ko

    ek kamra hai kirā.e ye bāzārī ġhizā

    shahr meñ kaise mile shāhī Thikāna tum ko

    āḳhirī ḳhat ko paḌho us meñ milegā 'māham'

    bhuul jaane use koī bahāna tum ko

    kya sunaun dil-e-muztar ka fasana tum ko

    main ne chaha tha kabhi ek zamana tum ko

    ye jo tum eid pe bhi aate nahin lauT ke ghar

    koi chhuTTi ka nahin hota bahana tum ko

    bistar-e-marg pe man thi to na the samne tum

    bahut hi mahnga paDa hai chale jaana tum ko

    ganw ke kachche makanon mein ye pakke rishte

    ras aaega nahin shahr ka khana tum ko

    har mahine ye nae note ye KHat kya matlab

    na manao nahin aata hai manana tum ko

    ek kamra hai kirae ka ye bazari ghiza

    shahr mein kaise mile shahi Thikana tum ko

    aaKHiri KHat ko paDho us mein milega 'maham'

    bhul jaane ka use koi bahana tum ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now