kya tha azal se qabl batata nahin koi
kyā thā azal se qabl batātā nahīñ koī
ye dāstāñ shurūa se sunātā nahīñ koī
bātil har ek bazm meñ bālā-nashīn hai
haq ko ab apne paas biThātā nahīñ koī
sahrā hai koh-o-dasht haiñ vīrāñ mazār haiñ
jaa.e kahīñ bhī jis ko bulātā nahīñ koī
aate haiñ aate aate sab ādāb-e-āshiqī
dil ḳhud se sīkhtā hai sikhātā nahīñ koī
nāchīz se huzūr koī kaam hai zarūr
yuuñ muft meñ sharāb pilātā nahīñ koī
kis ko hai dost fursat-e-nāz-o-niyāz ab
rūTheñ kisī se kyā ki manātā nahīñ koī
raḳht-e-safar uThā 'sadā' jaanā hai ab vahāñ
vāpas jahāñ se lauT ke aatā nahīñ koī
kya tha azal se qabl batata nahin koi
ye dastan shurua se sunata nahin koi
baatil har ek bazm mein baala-nashin hai
haq ko ab apne pas biThata nahin koi
sahra hai koh-o-dasht hain viran mazar hain
jae kahin bhi jis ko bulata nahin koi
aate hain aate aate sab aadab-e-ashiqi
dil KHud se sikhta hai sikhata nahin koi
nachiz se huzur koi kaam hai zarur
yun muft mein sharab pilata nahin koi
kis ko hai dost fursat-e-naz-o-niyaz ab
ruThen kisi se kya ki manata nahin koi
raKHt-e-safar uTha 'sada' jaana hai ab wahan
wapas jahan se lauT ke aata nahin koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.