Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya tum se kahun mujhse wo kya puchh raha tha

Mustafa Dilkash

kya tum se kahun mujhse wo kya puchh raha tha

Mustafa Dilkash

MORE BYMustafa Dilkash

    kyā tum se kahūñ mujh se vo kyā pūchh rahā thā

    mujh se mere ghar pata pūchh rahā thā

    nafrat ke asīroñ se mirī sādgī dekho

    maiñ dard-e-mohabbat davā pūchh rahā thā

    bebāk nigāhoñ taraf dekh ke merā

    dil mujh se taḌapne mazā pūchh rahā thā

    kyūñkar na kiyā yaad mujhe vaqt-e-musībat

    logoñ se mohabbat ḳhudā pūchh rahā thā

    iqrār-e-mohabbat ye andāz ajab hai

    vo karke ḳhatā merī ḳhatā pūchh rahā thā

    shāyad vo isī baat pe rone lage 'dilkash'

    maiñ jurm-e-mohabbat sazā pūchh rahā thā

    kya tum se kahun mujh se wo kya puchh raha tha

    mujh se hi mere ghar ka pata puchh raha tha

    nafrat ke asiron se meri sadgi dekho

    main dard-e-mohabbat ki dawa puchh raha tha

    bebak nigahon ki taraf dekh ke mera

    dil mujh se taDapne ka maza puchh raha tha

    kyunkar na kiya yaad mujhe waqt-e-musibat

    logon se mohabbat ka KHuda puchh raha tha

    iqrar-e-mohabbat ka ye andaz ajab hai

    wo karke KHata meri KHata puchh raha tha

    shayad wo isi baat pe rone lage 'dilkash'

    main jurm-e-mohabbat ki saza puchh raha tha

    Source:

    Lafzon Ke Dareeche Se (Pg. 45)

    • Author: Mustafa Dilkash
      • Publisher: Takmeel Publications, Mumbai
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now