Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya zist aab-o-rang ka dhoka kahen jise

Sayyad Safdar Hussain

kya zist aab-o-rang ka dhoka kahen jise

Sayyad Safdar Hussain

MORE BYSayyad Safdar Hussain

    kyā ziist āb-o-rang dhokā kaheñ jise

    ahl-e-nigāh ḳhvāb-e-zuleḳhā kaheñ jise

    kam-mā.igī-e-jur.at-e-dīdār qasam

    dekhā hai yuuñ unheñ ki na dekhā kaheñ jise

    ik umr ke talātum-e-jazbāt nichoḌ

    palkoñ pe hai vo buuñd ki dariyā kaheñ jise

    hasrat bharī nazar ne unheñ dekh dekh kar

    aisā banā liyā hai ki apnā kaheñ jise

    ik qalb-e-muztarib ki labālab hai misl-e-jām

    ik chashm-e-bāda-rez ki miinā kaheñ jise

    āñkhoñ pe kyā ho ahl-e-basīrat ko e.atibār

    vo jalvagī hai aaj ki pardā kaheñ jise

    nazzāra-hā.e-husn hāsil na pūchhiye

    ik ḳhīrgī matā.a-e-tamāshā kaheñ jise

    kis nazar fitna-e-shorish-pasand hai

    ye mahshar-e-hayāt ki duniyā kaheñ jise

    baḳhshī hai dil ke zaḳhm ko tere ḳhayāl ne

    vo tāzgī ki jān-e-tamannā kaheñ jise

    naala yahī hai jab to asar savāl kyā

    ik aisī kaifiyat hai ki naġhma kaheñ jise

    phaile to kā.enāt hai simTe to ik nigāh

    ye nāz-e-husn ek kināya kaheñ jise

    zarra bhī naaz kartā hai apne vajūd par

    muTThī meñ hai vo chiiz ki sahrā kaheñ jise

    iiñ hama numūd-e-sharar zindagī hai kyā

    ik khel āb-o-gil tamāshā kaheñ jise

    ik tifl-e-sāda-dil ke gharauñde tarah hai

    'safdar' ye musht-e-ḳhāk ki duniyā kaheñ jise

    kya zist aab-o-rang ka dhoka kahen jise

    ahl-e-nigah KHwab-e-zuleKHa kahen jise

    kam-maigi-e-jurat-e-didar ki qasam

    dekha hai yun unhen ki na dekha kahen jise

    ek umr ke talatum-e-jazbaat ka nichoD

    palkon pe hai wo bund ki dariya kahen jise

    hasrat bhari nazar ne unhen dekh dekh kar

    aisa bana liya hai ki apna kahen jise

    ek qalb-e-muztarib ki labaalab hai misl-e-jam

    ek chashm-e-baada-rez ki mina kahen jise

    aankhon pe kya ho ahl-e-basirat ko eatibar

    wo jalwagi hai aaj ki parda kahen jise

    nazzara-hae-husn ka hasil na puchhiye

    ek KHirgi mataa-e-tamasha kahen jise

    kis ki nazar ka fitna-e-shorish-pasand hai

    ye mahshar-e-hayat ki duniya kahen jise

    baKHshi hai dil ke zaKHm ko tere KHayal ne

    wo tazgi ki jaan-e-tamanna kahen jise

    nala yahi hai jab to asar ka sawal kya

    ek aisi kaifiyat hai ki naghma kahen jise

    phaile to kaenat hai simTe to ek nigah

    ye naz-e-husn ek kinaya kahen jise

    zarra bhi naz karta hai apne wajud par

    muTThi mein hai wo chiz ki sahra kahen jise

    ba in hama numud-e-sharar zindagi hai kya

    ek khel aab-o-gil ka tamasha kahen jise

    ek tifl-e-sada-dil ke gharaunde ki tarah hai

    'safdar' ye musht-e-KHak ki duniya kahen jise

    Source:

    Charagh-e-Dair-o-Haram (Pg. 66)

    • Author: Sayyad Safdar Hussain
      • Publisher: Bargah-e-Adab, Karachi
      • Year of Publication: 1964
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now