kyari kyari Khaali hai
kyārī kyārī ḳhālī hai
gahrī soch meñ maalī hai
rang hai vo uḌne vaalā
ik tasvīr banā lī hai
haath havāoñ meñ lahrā.e
gaaḌī jaane vaalī hai
nā-mānūs lab-o-lahja
sūrat dekhī-bhālī hai
maa.eñ darvāzoñ par haiñ
bārish hone vaalī hai
kuchh nahīñ us kī muTThī meñ
merā haath bhī ḳhālī hai
phir ifshā ik raaz huā
phir ik baat chhupā lī hai
lahrā.ī zaḳhmoñ kī fasl
badan badan hariyālī hai
ab ye būḌhī duniyā 'jamāl'
aañkh jhapakne vaalī hai
kyari kyari KHali hai
gahri soch mein mali hai
rang hai wo uDne wala
ek taswir bana li hai
hath hawaon mein lahrae
gaDi jaane wali hai
na-manus lab-o-lahja
surat dekhi-bhaali hai
maen darwazon par hain
barish hone wali hai
kuchh nahin us ki muTThi mein
mera hath bhi KHali hai
phir ifsha ek raaz hua
phir ek baat chhupa li hai
lahrai zaKHmon ki fasl
badan badan hariyali hai
ab ye buDhi duniya 'jamal'
aankh jhapakne wali hai
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 56)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.