Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyon bazm ki karta hai tamanna dil-e-nadan

Manju Kachhawa Ana

kyon bazm ki karta hai tamanna dil-e-nadan

Manju Kachhawa Ana

MORE BYManju Kachhawa Ana

    kyoñ bazm kartā hai tamannā dil-e-nādāñ

    ho jā.egā aur bhī tanhā dil-e-nādāñ

    hai hijr mohabbat taqāza dil-e-nādāñ

    ab kar le pakkā irāda dil-e-nādāñ

    har gaam pe log badalte haiñ yahāñ dil

    ḳhush rahtā agar bhī badaltā dil-e-nādāñ

    kuchh aur dhaḌak aur dhaḌak aur dhaḌak aur

    ḳhud samajh jā.egā qissa dil-e-nādāñ

    chup-chāp sitam vaqt ke maiñ sah to rahī huuñ

    dekho na banā de ye tamāshā dil-e-nādāñ

    vo aa.e the baiThe the koī baat bhī thī

    dekhtā hai ḳhvāb bhī kyā kyā dil-e-nādāñ

    hogā na kisī se bhī tire ġham mudāvā

    bīmār bhī to masīhā dil-e-nādāñ

    kyon bazm ki karta hai tamanna dil-e-nadan

    ho jaega tu aur bhi tanha dil-e-nadan

    hai hijr mohabbat ka taqaza dil-e-nadan

    ab kar hi le tu pakka irada dil-e-nadan

    har gam pe hi log badalte hain yahan dil

    KHush rahta agar tu bhi badalta dil-e-nadan

    kuchh aur dhaDak aur dhaDak aur dhaDak aur

    tu KHud hi samajh jaega qissa dil-e-nadan

    chup-chap sitam waqt ke main sah to rahi hun

    dekho na bana de ye tamasha dil-e-nadan

    wo aae the baiThe the koi baat bhi ki thi

    tu dekhta hai KHwab bhi kya kya dil-e-nadan

    hoga na kisi se bhi tere gham ka mudawa

    bimar bhi to tu hi masiha dil-e-nadan

    Source:

    Word File Mail By Salim Saleem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now