Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyon husn-e-tabassum ki takmil nahin hoti

Abdullla Khan Manzar Talbi

kyon husn-e-tabassum ki takmil nahin hoti

Abdullla Khan Manzar Talbi

MORE BYAbdullla Khan Manzar Talbi

    kyoñ husn-e-tabassum takmīl nahīñ hotī

    har sūrat-e-gul un key tamsīl nahīñ hotī

    karne ko ujālā to kar detī hai gir paḌ kar

    har barq sar-e-manzil qindīl nahīñ hotī

    gul bante hue shāyad dekhā nahīñ kaliyoñ ko

    kyā chiiz javānī meñ tabdīl nahīñ hotī

    hotā na agar dāman ye chaak junūñ meñ bhī

    rusvā.ī nahīñ hotī tazlīl nahīñ hotī

    āñkheñ samajhtī haiñ āñkhoñ key zabāñ 'manzar'

    afsāna-e-mub.ham tafsīl nahīñ hotī

    kyon husn-e-tabassum ki takmil nahin hoti

    har surat-e-gul un key tamsil nahin hoti

    karne ko ujala to kar deti hai gir paD kar

    har barq sar-e-manzil qindil nahin hoti

    gul bante hue shayad dekha nahin kaliyon ko

    kya chiz jawani mein tabdil nahin hoti

    hota na agar daman ye chaak junun mein bhi

    ruswai nahin hoti tazlil nahin hoti

    aankhen hi samajhti hain aankhon key zaban 'manzar'

    afsana-e-mubham ki tafsil nahin hoti

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 147)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now