Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyon kahte ho panw nahin ghar chalta hai

Shahid Kaleem

kyon kahte ho panw nahin ghar chalta hai

Shahid Kaleem

MORE BYShahid Kaleem

    kyoñ kahte ho paañv nahīñ ghar chaltā hai

    aisī bātoñ par ḳhanjar chaltā hai

    āsūda hai kaun tamāshā-bīnī se

    āñkheñ thak jaatī haiñ manzar chaltā hai

    raat ga.e sab aapas meñ mil jaate haiñ

    ḳhvāboñ duniyā meñ bistar chaltā hai

    shīshe ghar achchhā lagtā hai lekin

    shīshe ke ghar par patthar chaltā hai

    pyaas bujhānā sāhil sāhil kar kyā

    ḳhud aa.egā ḳhuub samundar chaltā hai

    bāhar bāhar yūñhī nahīñ maiñ be-tartīb

    tez havā jhoñkā andar chaltā hai

    'shāhid' vo manzar kaisā hotā hai jab

    pagDanDī par chāñd utar kar chaltā hai

    kyon kahte ho panw nahin ghar chalta hai

    aisi hi baaton par KHanjar chalta hai

    aasuda hai kaun tamasha-bini se

    aankhen thak jati hain manzar chalta hai

    raat gae sab aapas mein mil jate hain

    KHwabon ki duniya mein bistar chalta hai

    shishe ka ghar achchha lagta hai lekin

    shishe ke ghar par hi patthar chalta hai

    pyas bujhana sahil sahil ja kar kya

    KHud aaega KHub samundar chalta hai

    bahar bahar yunhi nahin main be-tartib

    tez hawa ka jhonka andar chalta hai

    'shahid' wo manzar kaisa hota hai jab

    pagDanDi par chand utar kar chalta hai

    Source:

    (Pg. 59)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now