Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyon kahun main ki sitam ka main saza-war na tha

Faheem Gorakhpuri

kyon kahun main ki sitam ka main saza-war na tha

Faheem Gorakhpuri

MORE BYFaheem Gorakhpuri

    kyoñ kahūñ maiñ ki sitam maiñ sazā-vār na thā

    dil diyā thā tujhe kis tarah gunahgār na thā

    umr bhar mujh se thī har ek ko be-vaj.h ḳhalish

    kyūñki maiñ gulshan-e-ālam meñ koī ḳhaar na thā

    kyā na kuchh ho gayā ik ġhairat-e-yūsuf ke liye

    kab mohabbat meñ maiñ rusvā sar-e-bāzār na thā

    kyā ye kartā mire zaḳhm-e-jigar-o-dil ilaaj

    charḳh-e-be-rahm koī marham-e-zañgār na thā

    fard niklā fan-e-duzdī meñ ḳhayāl-e-dilbar

    us aanā thā ki pahlū meñ dil-e-zār na thā

    kyā bahaltā gul-o-sumbul se chaman meñ mirā dil

    vo tirī zulf na thā ye tirā ruḳhsār na thā

    apnī qismat shākī maiñ mohabbat meñ rahā

    shikva-e-charḳh na thā kuchh gila-e-yār na thā

    hashr ke roz mire husn-e-gunah yārab

    terī rahmat ke sivā koī ḳharīdār na thā

    terī āñkhoñ mohabbat faqat thā use rog

    varna kuchh nargis-e-bīmār ko āzār na thā

    tum ne mahfil meñ jagah use hasrat hai mujhe

    ġhair is āv-bhagat to sazā-vār na thā

    nargis us aañkh bīmār-e-gul us ruḳh pe nisār

    bāġh-e-ālam meñ kise ishq āzār na thā

    ho ga.ī rasm-e-mulāqāt chalo bahs hai kyā

    tum ḳhatā par na the aur maiñ bhī vafādār na thā

    do pyāloñ meñ hai saaqī ke ajab kaif 'fahīm'

    āñkheñ milte vo thā kaun jo sarshār na thā

    kyon kahun main ki sitam ka main saza-war na tha

    dil diya tha tujhe kis tarah gunahgar na tha

    umr bhar mujh se thi har ek ko be-wajh KHalish

    kyunki main gulshan-e-alam mein koi KHar na tha

    kya na kuchh ho gaya ek ghairat-e-yusuf ke liye

    kab mohabbat mein main ruswa sar-e-bazar na tha

    kya ye karta mere zaKHm-e-jigar-o-dil ka ilaj

    charKH-e-be-rahm koi marham-e-zangar na tha

    fard nikla fan-e-duzdi mein KHayal-e-dilbar

    us ka aana tha ki pahlu mein dil-e-zar na tha

    kya bahalta gul-o-sumbul se chaman mein mera dil

    wo teri zulf na tha ye tera ruKHsar na tha

    apni qismat hi ka shaki main mohabbat mein raha

    shikwa-e-charKH na tha kuchh gila-e-yar na tha

    hashr ke roz mere husn-e-gunah ka yarab

    teri rahmat ke siwa koi KHaridar na tha

    teri aankhon ki mohabbat ka faqat tha use rog

    warna kuchh nargis-e-bimar ko aazar na tha

    tum ne mahfil mein jagah di use hasrat hai mujhe

    ghair is aaw-bhagat ka to saza-war na tha

    nargis us aankh ki bimar-e-gul us ruKH pe nisar

    bagh-e-alam mein kise ishq ka aazar na tha

    ho gai rasm-e-mulaqat chalo bahs hai kya

    tum KHata par na the aur main bhi wafadar na tha

    do pyalon mein hai saqi ke ajab kaif 'fahim'

    aankhen milte hi wo tha kaun jo sarshaar na tha

    Source:

    Yadgar-e-Faheem (Pg. 36)

    • Author: Faheem Gorakhpuri
      • Publisher: Mirza Basheer Ahmad Beg
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now