kyon kisi ko bhi bhala muD ke dubara dekhen
kyoñ kisī ko bhī bhalā muḌ ke dubāra dekheñ
har taraf husn hai kis kis kā ishāra dekheñ
kahkashānī ye safar sab ko mubārak ho ham
us ke ruḳhsār pe hī chāñd sitārā dekheñ
hai majāl itnī tujhe bhūlne lag jaa.eñ ham
terī yādoñ meñ ham apnā bhī guzārā dekheñ
dil kisī se bhī sañbhālā na gayā hai ab tak
tum bhī aa jaao tumhārā bhī sahārā dekheñ
kyon kisi ko bhi bhala muD ke dubara dekhen
har taraf husn hai kis kis ka ishaara dekhen
kahkashani ye safar sab ko mubarak ho hum
us ke ruKHsar pe hi chand sitara dekhen
hai majal itni tujhe bhulne lag jaen hum
teri yaadon mein hum apna bhi guzara dekhen
dil kisi se bhi sanbhaala na gaya hai ab tak
tum bhi aa jao tumhaara bhi sahaara dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.