Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyon na taDpa de jahan ko soKHta-jaanon ki baat

Ibrahim Faiz

kyon na taDpa de jahan ko soKHta-jaanon ki baat

Ibrahim Faiz

MORE BYIbrahim Faiz

    kyoñ na taḌpā de jahāñ ko soḳhta-jānoñ baat

    muztarib kartī hai insānoñ ko insānoñ baat

    dil-shikasta hausle hairāñ nigāh-e-ārzū

    zindagī ko raas kab aa.ī sanam-ḳhānoñ baat

    tīrgī-e-gesū-e-hastī aalam kyā kaheñ

    dil dil meñ ghuT ke rah jaatī hai armānoñ baat

    aam hotā rahā hai qissa-e-jām-o-subū

    khul rahī hai ahl-e-dil par aaj paimānoñ baat

    ab nikharte rahe haiñ āriz-e-husn-e-hayāt

    ho rahī hai surḳh-rū ḳhūñ-gashta armānoñ baat

    tishnagī lau de rahī hai ārzū-e-zīst ko

    Dhal rahī hai aag ke sho.aloñ meñ paimānoñ baat

    tīrgī-e-dahr meñ aish-o-tarab dāstāñ

    'faiz' vīrāne meñ ho jaise gulistānoñ baat

    kyon na taDpa de jahan ko soKHta-jaanon ki baat

    muztarib karti hai insanon ko insanon ki baat

    dil-shikasta hausle hairan nigah-e-arzu

    zindagi ko ras kab aai sanam-KHanon ki baat

    tirgi-e-gesu-e-hasti ka aalam kya kahen

    dil hi dil mein ghuT ke rah jati hai armanon ki baat

    aam hota ja raha hai qissa-e-jam-o-subu

    khul rahi hai ahl-e-dil par aaj paimanon ki baat

    ab nikharte ja rahe hain aariz-e-husn-e-hayat

    ho rahi hai surKH-ru KHun-gashta armanon ki baat

    tishnagi lau de rahi hai aarzu-e-zist ko

    Dhal rahi hai aag ke shoalon mein paimanon ki baat

    tirgi-e-dahr mein aish-o-tarab ki dastan

    'faiz' virane mein ho jaise gulistanon ki baat

    Source:

    Nigarish (Pg. 20)

    • Author: Ibrahim Faiz
      • Publisher: Nauris Publications, Pune
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now