kyon qafas mein idhar-udhar dekhen
kyoñ qafas meñ idhar-udhar dekheñ
ab koī aur rahguzar dekheñ
ghir ga.e haiñ nishāna-bāzoñ meñ
tiir dekheñ ki apnā sar dekheñ
is tarah dekh duur jaate hue
ham tirī raah 'umr bhar dekheñ
band kamre meñ sirf ham hī haiñ
kis bharose idhar-udhar dekheñ
ret par kyoñ taḌaptī hai machhlī
aao dariyā meñ duub kar dekheñ
ab kisī raat shahr meñ us ke
kaise phirte haiñ dar-ba-dar dekheñ
apne malbe ko muñh dikhānā hai
ġhaur se pahle us kā ghar dekheñ
kyon qafas mein idhar-udhar dekhen
ab koi aur rahguzar dekhen
ghir gae hain nishana-bazon mein
tir dekhen ki apna sar dekhen
is tarah dekh dur jate hue
hum teri rah 'umr bhar dekhen
band kamre mein sirf hum hi hain
kis bharose idhar-udhar dekhen
ret par kyon taDapti hai machhli
aao dariya mein dub kar dekhen
ab kisi raat shahr mein us ke
kaise phirte hain dar-ba-dar dekhen
apne malbe ko munh dikhana hai
ghaur se pahle us ka ghar dekhen
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 28)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.