kyon tham gai hai tu ai hawa aur raqs kar
kyoñ tham ga.ī hai tū ai havā aur raqs kar
chal merī or haath baḌhā aur raqs kar
duniyā to hai vo shai jise nākāra ham kaheñ
duniyā se apnā dhyān haTā aur raqs kar
dil ke diye tale hai añdherā maiñ kyā karūñ
karnā hai kyā bujhā ye diyā aur raqs kar
raqsāñ thī gird-o-pesh hazāroñ hidāyateñ
maiñ ne to sirf itnā sunā aur raqs kar
maiñ ne kahā azal se kiye jā rahā huuñ raqs
hañste hue phir us ne kahā aur raqs kar
kyon tham gai hai tu ai hawa aur raqs kar
chal meri or hath baDha aur raqs kar
duniya to hai wo shai jise nakara hum kahen
duniya se apna dhyan haTa aur raqs kar
dil ke diye tale hai andhera main kya karun
karna hai kya bujha ye diya aur raqs kar
raqsan thi gird-o-pesh hazaron hidayaten
main ne to sirf itna suna aur raqs kar
main ne kaha azal se kiye ja raha hun raqs
hanste hue phir us ne kaha aur raqs kar
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 50)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.