Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyon tirgi pe tumko guman chandni ka hai

Yaqoob Parwaz

kyon tirgi pe tumko guman chandni ka hai

Yaqoob Parwaz

MORE BYYaqoob Parwaz

    kyoñ tīrgī pe tum ko gumāñ chāñdnī hai

    āḳhir ye rañg ruup kahāñ chāñdnī hai

    zulmat ishtihār bane phir rahe haiñ ham

    socho agar to ye bhī ziyāñ chāñdnī hai

    ye raushnī shahr hai kaisā ki ab yahāñ

    dekhā jise bhī nauha-kunāñ chāñdnī hai

    is shahr-e-be-charāġh se aao nikal chaleñ

    vo is liye ki shor yahāñ chāñdnī hai

    nā-bīnagī ke rog meñ haiñ mubtalā vahī

    'parvāz' jin apnā makāñ chāñdnī hai

    kyon tirgi pe tum ko guman chandni ka hai

    aaKHir ye rang rup kahan chandni ka hai

    zulmat ka ishtihaar bane phir rahe hain hum

    socho agar to ye bhi ziyan chandni ka hai

    ye raushni ka shahr hai kaisa ki ab yahan

    dekha jise bhi nauha-kunan chandni ka hai

    is shahr-e-be-charagh se aao nikal chalen

    wo is liye ki shor yahan chandni ka hai

    na-binagi ke rog mein hain mubtala wahi

    'parwaz' jin ka apna makan chandni ka hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now