aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyun kah ke dil ka haal use bad-guman karun

Bekhud Dehlvi

kyun kah ke dil ka haal use bad-guman karun

Bekhud Dehlvi

MORE BYBekhud Dehlvi

    kyuuñ kah ke dil haal use bad-gumāñ karūñ

    ye raaz vo nahīñ hai jise maiñ bayāñ karūñ

    mujh ko ye zid ki vasl iqrār tum se luuñ

    tum ko ye haT ki maiñ na kabhī tujh se haañ karūñ

    ye kah rahī hai mujh se kisī nigāh-e-sharm

    fursat agar hayā se mile shoḳhiyāñ karūñ

    mujh ko aazmā ke vafā-dāriyoñ meñ dekh

    maiñ bevafā.iyoñ meñ tirā imtihāñ karūñ

    uktā gayā hai shar.a pābandiyoñ se

    dil chāhtā hai bai.at-e-pīr-e-muġhāñ karūñ

    'beḳhud' rafīq hai na koī ham-tarīq hai

    dil par jo kuchh guzartī hai kis se bayāñ karūñ

    kyun kah ke dil ka haal use bad-guman karun

    ye raaz wo nahin hai jise main bayan karun

    mujh ko ye zid ki wasl ka iqrar tum se lun

    tum ko ye haT ki main na kabhi tujh se han karun

    ye kah rahi hai mujh se kisi ki nigah-e-sharm

    fursat agar haya se mile shoKHiyan karun

    tu mujh ko aazma ke wafa-dariyon mein dekh

    main bewafaiyon mein tera imtihan karun

    ukta gaya hai shara ki pabandiyon se ji

    dil chahta hai baiat-e-pir-e-mughan karun

    'beKHud' rafiq hai na koi ham-tariq hai

    dil par jo kuchh guzarti hai kis se bayan karun

    Source:

    Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 170)

    • Author: Hasrat Mohani
      • Edition: 1983
      • Publisher: uttar pradesh urdu academy
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now