aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyun kar chubhe na aankh mein gul Khaar ki tarah

Dattatriya Kaifi

kyun kar chubhe na aankh mein gul Khaar ki tarah

Dattatriya Kaifi

MORE BYDattatriya Kaifi

    kyuuñ kar chubhe na aañkh meñ gul ḳhaar tarah

    bhaa.ī hai dil ko ek trahdār tarah

    hālat talāsh-e-yār meñ ye ho ga.ī mirī

    jaatā huuñ baiTh baiTh dil-e-zār tarah

    kyā dil meñ ḳhaar rashk-e-ruḳh-e-yār chubhā

    bigḌī huī hai kyuuñ gul-e-gulzār tarah

    hai kuchh na kuchh vahāñ bhī asar dard-e-ishq

    aañkh un bhī hai is dil-e-bīmār tarah

    ai kaash mere tār-e-rag-e-jāñ ko toḌ de

    qātil teġh yaar ke iqrār tarah

    'kaifī' biThā.eñ āñkhoñ pe kyuuñ aap ko na log

    chubhtī huī hai aap ke ash.ār tarah

    kyun kar chubhe na aankh mein gul KHar ki tarah

    bhai hai dil ko ek trahdar ki tarah

    haalat talash-e-yar mein ye ho gai meri

    jata hun baiTh baiTh dil-e-zar ki tarah

    kya dil mein KHar rashk-e-ruKH-e-yar ka chubha

    bigDi hui hai kyun gul-e-gulzar ki tarah

    hai kuchh na kuchh wahan bhi asar dard-e-ishq ka

    aankh un ki bhi hai is dil-e-bimar ki tarah

    ai kash mere tar-e-rag-e-jaan ko toD de

    qatil ki tegh yar ke iqrar ki tarah

    'kaifi' biThaen aankhon pe kyun aap ko na log

    chubhti hui hai aap ke ashaar ki tarah

    Source:

    Waridat (Pg. 504)

    • Author: Dattatriya Kaifi
      • Edition: 1941
      • Publisher: Measures Ram Lal Soori and Son's, Anarkali, Lahore
      • Year of Publication: 1941
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now