Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyun KHarabaat mein laf-e-hama-dani waiz

Munshi Amirullah Tasleem

kyun KHarabaat mein laf-e-hama-dani waiz

Munshi Amirullah Tasleem

MORE BYMunshi Amirullah Tasleem

    kyuuñ ḳharābāt meñ lāf-e-hama-dānī vā'iz

    kaun suntā hai tirī harzā-bayānī vā'iz

    daftar-e-va.az ke nuqte bhī na hoñge itne

    jitne haiñ dil meñ mire dāġh-e-nihānī vā'iz

    sach sahī jannat-o-dozaḳh fasāna lekin

    kis tarah maan luuñ maiñ terī zabānī vā'iz

    be-vuzū pā-e-ḳhum-e-bāda ko chhū letā hai

    ḳhaak aatī hai tujhe martaba-dānī vā'iz

    narm bhī dil suḳhan-e-garm se ab tak na huā

    dekh ham ne tirī sho'la-bayānī vā'iz

    nek-o-bad ḳhuub samajhtā huuñ karūñ kyā ki abhī

    sunñe detā nahīñ āshob-e-javānī vā'iz

    rindī-o-zohd riyā.ī meñ haiñ donoñ yaktā

    misl merā hai na terā koī saanī vā'iz

    ye ḳharābāt hai ḳhair se apne ghar ko

    muñh khulvā.e na phir tez-zabānī vā'iz

    aaj samjhā ga.ī kyā tujh ko 'ibādat terī

    na rahā mashġhala-e-ashk-fishānī vā'iz

    is qadar hai jo dam-e-naza.a havas duniyā

    saath le jā.egā kyā ālam-e-fānī vā'iz

    riñd huuñ de mujhe jām-e-mai-e-at.har ḳhabar

    tujh ko kausar mubārak rahe paanī vā'iz

    zard ho jaatā hai sun kar ruḳh-e-gulgūñ merā

    tirī taqrīr hai bād-e-ḳhizānī vā'iz

    naqsha firdaus bātoñ meñ dikhā detā hai

    ye zabāñ hai tirī ḳhāma-e-mānī vā'iz

    chalte phirte nahīñ be-vaj.h ye ronā merā

    saath phirtā huuñ liye ġham nishānī vā'iz

    kyā ruke ḳhāma-e-'taslīm' dam-e-fikr-e-suḳhan

    tab' meñ aaj hai dariyā ravānī vā'iz

    kyun KHarabaat mein laf-e-hama-dani wa'iz

    kaun sunta hai teri harza-bayani wa'iz

    daftar-e-waz ke nuqte bhi na honge itne

    jitne hain dil mein mere dagh-e-nihani wa'iz

    sach sahi jannat-o-dozaKH ka fasana lekin

    kis tarah man lun main teri zabani wa'iz

    be-wuzu pa-e-KHum-e-baada ko chhu leta hai

    KHak aati hai tujhe martaba-dani wa'iz

    narm bhi dil suKHan-e-garm se ab tak na hua

    dekh li hum ne teri sho'la-bayani wa'iz

    nek-o-bad KHub samajhta hun karun kya ki abhi

    sunne deta nahin aashob-e-jawani wa'iz

    rindi-o-zohd riyai mein hain donon yakta

    misl mera hai na tera koi sani wa'iz

    ye KHarabaat hai ja KHair se apne ghar ko

    munh ki khulwae na phir tez-zabani wa'iz

    aaj samjha gai kya tujh ko 'ibaadat teri

    na raha mashghala-e-ashk-fishani wa'iz

    is qadar hai jo dam-e-naza hawas duniya ki

    sath le jaega kya aalam-e-fani wa'iz

    rind hun de mujhe jam-e-mai-e-athar ki KHabar

    tujh ko kausar ka mubarak rahe pani wa'iz

    zard ho jata hai sun kar ruKH-e-gulgun mera

    teri taqrir hai ya baad-e-KHizani wa'iz

    naqsha firdaus ka baaton mein dikha deta hai

    ye zaban hai teri ya KHama-e-mani wa'iz

    chalte phirte nahin be-wajh ye rona mera

    sath phirta hun liye gham ki nishani wa'iz

    kya ruke KHama-e-'taslim' dam-e-fikr-e-suKHan

    tab' mein aaj hai dariya ki rawani wa'iz

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now