Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyun KHud-baKHud phiri nigah-e-yar kya sabab

Mirza Asman Jah Anjum

kyun KHud-baKHud phiri nigah-e-yar kya sabab

Mirza Asman Jah Anjum

MORE BYMirza Asman Jah Anjum

    kyuuñ ḳhud-baḳhud phirī nigah-e-yār kyā sabab

    kyuuñ sar-nigūñ hai ābrū-e-ḳham-dār kyā sabab

    qismat palaT ga.ī ki nasība ulaT gayā

    kyuuñ ḳhud-baḳhud phirī nigah-e-yār kiyā sabab

    kyā aa gayā qarīb zamāna visāl

    kyuuñ be-qarār hai ye dil-e-zār kyā sabab

    tāqat kahāñ se aa ga.ī is nā-tavāñ meñ aaj

    dam toḌtā jo hai dil-e-bīmār kyā sabab

    kis se laḌī nigāh ye kis par itaab hai

    hote haiñ band rauzan-e-dīvār kyā sabab

    furqat raat roz-e-qayāmat kahīñ na ho

    hotī nahīñ jo sub.h-e-shab-e-tār kyā sabab

    'anjum' ga.e the un ko sunāne ke vāste

    phir hāl-e-dil kiyā jo na iz.hār kyā sabab

    kyun KHud-baKHud phiri nigah-e-yar kya sabab

    kyun sar-nigun hai aabru-e-KHam-dar kya sabab

    qismat palaT gai ki nasiba ulaT gaya

    kyun KHud-baKHud phiri nigah-e-yar kiya sabab

    kya aa gaya qarib zamana visal ka

    kyun be-qarar hai ye dil-e-zar kya sabab

    taqat kahan se aa gai is na-tawan mein aaj

    dam toDta jo hai dil-e-bimar kya sabab

    kis se laDi nigah ye kis par itab hai

    hote hain band rauzan-e-diwar kya sabab

    furqat ki raat roz-e-qayamat kahin na ho

    hoti nahin jo subh-e-shab-e-tar kya sabab

    'anjum' gae the un ko sunane ke waste

    phir haal-e-dil kiya jo na izhaar kya sabab

    Source:

    Deewan-e-Anjum(website) (Pg. 44)

    • Author: Mirza Asman Jah Anjum
      • Edition: 1959
      • Publisher: Raja Ram Kumar Book Depot, Lucknow
      • Year of Publication: 1959
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now