Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyun na afsana-e-gham kaif ka unwan Thahre

Qaisar Siddiqi

kyun na afsana-e-gham kaif ka unwan Thahre

Qaisar Siddiqi

MORE BYQaisar Siddiqi

    kyuuñ na afsāna-e-ġham kaif unvāñ Thahre

    shiddat-e-dard jab dard darmāñ Thahre

    jis jagah ham koī chāk-e-garebāñ Thahre

    shauq se aa ke vahāñ fasl-e-bahārāñ Thahre

    us ke dāman taraf haath baḌhā.ūñ kaise

    jis ke dāman mahak sho.alagī-e-jāñ Thahre

    manzileñ aatī haiñ aur aa ke guzar jaatī haiñ

    dekhiye ke kahāñ qāfila-e-jāñ Thahre

    pichhle va.ade jo nahīñ yaad to kyā baat huī

    phir koī ahd-e-vafā phir koī paimāñ Thahre

    aap ko dekhūñ to ho duur mirī tishna-labī

    aap aa jaa.eñ to jazbāt tūfāñ Thahre

    shoḳhī-e-dast-e-sabā se to koī kuchh na kahe

    mere sar tohmat-e-gesū-e-pareshāñ Thahre

    kyun na afsana-e-gham kaif ka unwan Thahre

    shiddat-e-dard hi jab dard ka darman Thahre

    jis jagah hum sa koi chaak-e-gareban Thahre

    shauq se aa ke wahan fasl-e-bahaaran Thahre

    us ke daman ki taraf hath baDhaun kaise

    jis ke daman ki mahak shoalagi-e-jaan Thahre

    manzilen aati hain aur aa ke guzar jati hain

    dekhiye ja ke kahan qafila-e-jaan Thahre

    pichhle wade jo nahin yaad to kya baat hui

    phir koi ahd-e-wafa phir koi paiman Thahre

    aap ko dekhun to ho dur meri tishna-labi

    aap aa jaen to jazbaat ka tufan Thahre

    shoKHi-e-dast-e-saba se to koi kuchh na kahe

    mere sar tohmat-e-gesu-e-pareshan Thahre

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now