Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyun na ho shauq tere dar pe jabin-sai ka

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

kyun na ho shauq tere dar pe jabin-sai ka

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

MORE BYMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

    kyuuñ na ho shauq tire dar pe jabīñ-sā.ī

    us meñ jauhar hai mirī ā.īna-sīmā.ī

    tuur kushta hai usī nāz-e-ḳhud-ārā.ī

    barq lahr hai naqsha tirī añgḌā.ī

    ishq ik tabsira hai husn ra.anā.ī par

    husn ik falsafa hai ishq rusvā.ī

    aaj ik ḳhaak zarra bhī nahīñ baaqī hai

    dil-e-barbād ye hāsil hai ḳhud-ārā.ī

    yād-e-ayyām ki thī lab pe mire mohar-e-sukūt

    ab to mātam hai bapā dil meñ shakebā.ī

    mauj-dar-mauj ravāñ bāda-e-sar-josh-e-shabāb

    ālam-e-kaif hai aalam tirī añgḌā.ī

    hasrat-o-yās amboh magar maiñ bekas

    aise majme.a meñ ye aalam mirī tanhā.ī

    tīrgī shām-e-lahad hai bhayānak lekin

    hai ye utrā huā jaama shab-e-tanhā.ī

    jazr-o-mad husn ke dariyā meñ nazar aatā hai

    qābil-e-dīd hai aalam tirī añgḌā.ī

    tere dīdār se mahrūm rahīñ jab āñkheñ

    koī masraf nahīñ phir mirī bīnā.ī

    ālam-e-gor-e-ġharībāñ ye ġhamnāk sukūt

    ik namūna hai mire dil shakebā.ī

    niiñd un agar uḌ jaa.e to kuchh duur nahīñ

    so gayā jāgne vaalā shab-e-tanhā.ī

    sher dilkash ho agar saf.ha-e-kāġhaz pe 'azīz'

    ik muraqqa.a hai kamāl-e-suḳhan-ārā.ī

    kyun na ho shauq tere dar pe jabin-sai ka

    us mein jauhar hai meri aaina-simai ka

    tur kushta hai usi naz-e-KHud-arai ka

    barq ki lahr hai naqsha teri angDai ka

    ishq ek tabsira hai husn ki ranai par

    husn ek falsafa hai ishq ki ruswai ka

    aaj ek KHak ka zarra bhi nahin baqi hai

    dil-e-barbaad ye hasil hai KHud-arai ka

    yaad-e-ayyam ki thi lab pe mere mohar-e-sukut

    ab to matam hai bapa dil mein shakebai ka

    mauj-dar-mauj rawan baada-e-sar-josh-e-shabab

    aalam-e-kaif hai aalam teri angDai ka

    hasrat-o-yas ka amboh magar main bekas

    aise majmea mein ye aalam meri tanhai ka

    tirgi sham-e-lahad ki hai bhayanak lekin

    hai ye utra hua jama shab-e-tanhai ka

    jazr-o-mad husn ke dariya mein nazar aata hai

    qabil-e-did hai aalam teri angDai ka

    tere didar se mahrum rahin jab aankhen

    koi masraf hi nahin phir meri binai ka

    aalam-e-gor-e-ghariban ka ye ghamnak sukut

    ek namuna hai mere dil ki shakebai ka

    nind un ki agar uD jae to kuchh dur nahin

    so gaya jagne wala shab-e-tanhai ka

    sher dilkash ho agar safha-e-kaghaz pe 'aziz'

    ek muraqqa hai kamal-e-suKHan-arai ka

    Source:

    Anjum Kada (Pg. 80)

    • Author: Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
      • Edition: 1956
      • Publisher: Anjuman Taraqqi Urdu (Hind), Aligarh
      • Year of Publication: 1956
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now