Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyun pareshan hua jata hai dil kya jaane

Shamim Hanafi

kyun pareshan hua jata hai dil kya jaane

Shamim Hanafi

MORE BYShamim Hanafi

    kyuuñ pareshān huā jaatā hai dil kyā jaane

    kaisā pāgal hai ki paanī ko bhī sahrā jaane

    maiñ vo āvāra ki bādal bhī ḳhafā haiñ mujh se

    zamāne ko bhī Thahrā huā lamha jaane

    dhuup gard fazāoñ meñ diloñ meñ tābūt

    har nafas ḳhud ko bas ik aag dariyā jaane

    os buuñd bhī ab sañg-sifat lagtī hai

    phuul ke baaġh ko dil aag dariyā jaane

    raat patthar meñ Dhalī chāñd bhī kaalā niklā

    aise manzar ko bhī ab aañkh tamāshā jaane

    be-sadā gumbad-e-ehsās huā mohr-ba-lab

    phuul ke dard qissa koī kāñTā jaane

    din ḳhandaq dhuāñ shahr se aage bhī gayā

    kis tarah ghar pata koī parinda jaane

    kyun pareshan hua jata hai dil kya jaane

    kaisa pagal hai ki pani ko bhi sahra jaane

    main wo aawara ki baadal bhi KHafa hain mujh se

    tu zamane ko bhi Thahra hua lamha jaane

    dhup ki gard fazaon mein dilon mein tabut

    har nafas KHud ko bas ek aag ka dariya jaane

    os ki bund bhi ab sang-sifat lagti hai

    phul ke bagh ko dil aag ka dariya jaane

    raat patthar mein Dhali chand bhi kala nikla

    aise manzar ko bhi ab aankh tamasha jaane

    be-sada gumbad-e-ehsas hua mohr-ba-lab

    phul ke dard ka qissa koi kanTa jaane

    din ki KHandaq ka dhuan shahr se aage bhi gaya

    kis tarah ghar ka pata koi parinda jaane

    Source:

    Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 205)

    • Author: Professor Unwan Chishti
      • Edition: 1989
      • Publisher: Asila Offset Printers, Kalan Mahal, Dariyaganj, New Delhi-6
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now