Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

laeq-e-dastar aaKHir koi sar hona hi tha

Mahir Sivharvi

laeq-e-dastar aaKHir koi sar hona hi tha

Mahir Sivharvi

MORE BYMahir Sivharvi

    lā.eq-e-dastār āḳhir koī sar honā thā

    ik na ik din to ye qissa muḳhtasar honā thā

    dekh kar ashk-e-nadāmat aa gayā rahmat ko josh

    ab to merī har ḳhatā ko dar-guzar honā thā

    chashm pur-nam thī na mere hoñToñ par shikva-gila

    mere ġham se har kisī ko be-ḳhabar honā thā

    inqilāb-e-vaqt parcham thā mere haath meñ

    zīnat-e-dār-o-rasan to merā sar honā thā

    dāstāñ merī zabāñ se sun rahe the apnī log

    merā har hamla yaqīnan kārgar honā thā

    apnī be-nūrī pe nargis kab talak rotī bhalā

    ik-na-ik din to chaman meñ diida var honā thā

    sohbat-e-ahl-e-hunar meñ umr guzrī hai tamām

    fikr-e-'māhir' ko kabhī to mo'atabar honā thā

    laeq-e-dastar aaKHir koi sar hona hi tha

    ek na ek din to ye qissa muKHtasar hona hi tha

    dekh kar ashk-e-nadamat aa gaya rahmat ko josh

    ab to meri har KHata ko dar-guzar hona hi tha

    chashm pur-nam thi na mere honTon par shikwa-gila

    mere gham se har kisi ko be-KHabar hona hi tha

    inqilab-e-waqt ka parcham tha mere hath mein

    zinat-e-dar-o-rasan to mera sar hona hi tha

    dastan meri zaban se sun rahe the apni log

    mera har hamla yaqinan kargar hona hi tha

    apni be-nuri pe nargis kab talak roti bhala

    ik-na-ik din to chaman mein dida war hona hi tha

    sohbat-e-ahl-e-hunar mein umr guzri hai tamam

    fikr-e-'mahir' ko kabhi to mo'atabar hona hi tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now