Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

laghar hain jism rang hain kale paDe hue

Ahmad Mushtaq

laghar hain jism rang hain kale paDe hue

Ahmad Mushtaq

MORE BYAhmad Mushtaq

    lāġhar haiñ jism rañg haiñ kaale paḌe hue

    bāloñ pe gard paañv meñ chhāle paḌe hue

    is ma.arke meñ ishq bechārā karegā kyā

    ḳhud husn ko haiñ jaan ke laale paḌe hue

    ye jo bhī ho bahār nahīñ hai janāb-e-man

    kis vahm meñ haiñ dekhne vaale paḌe hue

    is dahr kushāda-darī par na jā.iye

    andar qadam qadam pe haiñ taale paḌe hue

    shīshe ke ik gilās meñ nargis ke phuul haiñ

    ik mez par haiñ chand risāle paḌe hue

    laghar hain jism rang hain kale paDe hue

    baalon pe gard panw mein chhaale paDe hue

    is marke mein ishq bechaara karega kya

    KHud husn ko hain jaan ke lale paDe hue

    ye jo bhi ho bahaar nahin hai janab-e-man

    kis wahm mein hain dekhne wale paDe hue

    is dahr ki kushada-dari par na jaiye

    andar qadam qadam pe hain tale paDe hue

    shishe ke ek gilas mein nargis ke phul hain

    ek mez par hain chand risale paDe hue

    Source:

    Auraaq-e-Khezani (Pg. 37)

    • Author: Ahmad Mushtaq
      • Edition: 2015
      • Publisher: Rekhta Foundation
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now