lai meri junun ki manzil kidhar mujhe
laa.ī mirī junūn kī manzil kidhar mujhe
hairat se dekhte haiñ mire ham-safar mujhe
aayā huā kahīñ se koī ajnabī huuñ maiñ
dauḌe hai kaaT khāne ko merā hī ghar mujhe
yādash-ba-ḳhair ġham se subuk-dosh kar ga.ī
vo zindagī jo baar rahī 'umr bhar mujhe
vo jalva-gar jahān ke har juzv-o-kul meñ hai
ye aur baat hai ki na aa.e nazar mujhe
kyā jaane husn-o-'ishq haiñ kis marhale meñ ab
un ko mirī ḳhabar hai na un kī ḳhabar mujhe
maqtal meñ jā ghusūñ maiñ anal-‘ishq chīḳhtā
shānoñ pe ab to bojh sā lagtā hai sar mujhe
ab tak to merā kaam bhī puurā nahīñ huā
be-vaqt maar Dālegā marne kā Dar mujhe
thā koī ġham-gusār dam-e-marg ai 'nishāt'
rote rahe sukūn se dīvār-o-dar mujhe
lai meri junun ki manzil kidhar mujhe
hairat se dekhte hain mere ham-safar mujhe
aaya hua kahin se koi ajnabi hun main
dauDe hai kaT khane ko mera hi ghar mujhe
yaadash-ba-KHair gham se subuk-dosh kar gai
wo zindagi jo bar rahi 'umr bhar mujhe
wo jalwa-gar jahan ke har juzw-o-kul mein hai
ye aur baat hai ki na aae nazar mujhe
kya jaane husn-o-'ishq hain kis marhale mein ab
un ko meri KHabar hai na un ki KHabar mujhe
maqtal mein ja ghusun main anal-‘ishq chiKHta
shanon pe ab to bojh sa lagta hai sar mujhe
ab tak to mera kaam bhi pura nahin hua
be-waqt mar Dalega marne ka Dar mujhe
tha koi gham-gusar dam-e-marg ai 'nishat'
rote rahe sukun se diwar-o-dar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.