aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lakh aawara sahi shahron ke fuTpathon pe hum

Jan Nisar Akhtar

lakh aawara sahi shahron ke fuTpathon pe hum

Jan Nisar Akhtar

MORE BYJan Nisar Akhtar

    laakh āvāra sahī shahroñ ke fuTpāthoñ pe ham

    laash ye kis liye phirte haiñ in hāthoñ pe ham

    ab unhīñ bātoñ ko sunte haiñ to aatī hai hañsī

    be-tarah īmān le aa.e the jin bātoñ pe ham

    koī bhī mausam ho dil aag kam hotī nahīñ

    muft ilzām rakh dete haiñ barsātoñ pe ham

    zulf se chhantī huī us ke badan tābisheñ

    hañs diyā karte the aksar chāñdnī rātoñ pe ham

    ab unheñ pahchānte bhī sharm aatī hai hameñ

    faḳhr karte the kabhī jin mulāqātoñ pe ham

    lakh aawara sahi shahron ke fuTpathon pe hum

    lash ye kis ki liye phirte hain in hathon pe hum

    ab unhin baaton ko sunte hain to aati hai hansi

    be-tarah iman le aae the jin baaton pe hum

    koi bhi mausam ho dil ki aag kam hoti nahin

    muft ka ilzam rakh dete hain barsaton pe hum

    zulf se chhanti hui us ke badan ki tabishen

    hans diya karte the aksar chandni raaton pe hum

    ab unhen pahchante bhi sharm aati hai hamein

    faKHr karte the kabhi jin ki mulaqaton pe hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now