lakh main gham ko chhupata hun magar bolta hai
laakh maiñ ġham ko chhupātā huuñ magar boltā hai
mere she'roñ meñ udāsī kā asar boltā hai
jumbish-e-dast se kārīgarī aatī hai nazar
aadmī chup bhī agar ho to hunar boltā hai
vo agar dekhtā hai us kī nikālo āñkheñ
aur zabāñ kaaT do vo shaḳhs agar boltā hai
us ko mā'lūm nahīñ asl meñ ḳhalvat kā sabab
merī vīrān havelī ko jo ghar boltā hai
ab to ye tai hai ki vo chhoḌne vaalā hai mujhe
ab to vo 'ishq ko be-kār safar boltā hai
lakh main gham ko chhupata hun magar bolta hai
mere she'ron mein udasi ka asar bolta hai
jumbish-e-dast se karigari aati hai nazar
aadmi chup bhi agar ho to hunar bolta hai
wo agar dekhta hai us ki nikalo aankhen
aur zaban kaT do wo shaKHs agar bolta hai
us ko ma'lum nahin asl mein KHalwat ka sabab
meri viran haweli ko jo ghar bolta hai
ab to ye tai hai ki wo chhoDne wala hai mujhe
ab to wo 'ishq ko be-kar safar bolta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.