Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lakh taklif den rishton ke khanDar aaj ke baad

Shahid Jamal

lakh taklif den rishton ke khanDar aaj ke baad

Shahid Jamal

MORE BYShahid Jamal

    laakh taklīf deñ rishtoñ ke khañDar aaj ke baad

    ham kabhī chhoḌ ke jā.eñge na ghar aaj ke baad

    aa.e din apnī peshānī huī hai majrūh

    pattharo tum se na Takrā.eñge sar aaj ke baad

    ab na ā.īna koī hai na ā.īna-sifat

    ḳhatm hai mas.ala-e-aib-o-hunar aaj ke baad

    apnī parvāz pe har lamha jo hogī tanqīd

    kaise phailā.eñge ham bāzū-o-par aaj ke ba.ad

    ghol de saarī fazāoñ meñ ḳhudā amn amn

    ḳhuun ro.eñ na kahīñ shām-o-sahar aaj ke baad

    koī jugnū sahī saath nibhā.egā zarūr

    hai jo qismat meñ ujāloñ safar aaj ke baad

    lakh taklif den rishton ke khanDar aaj ke baad

    hum kabhi chhoD ke jaenge na ghar aaj ke baad

    aae din apni hi peshani hui hai majruh

    pattharo tum se na Takraenge sar aaj ke baad

    ab na aaina hi koi hai na aaina-sifat

    KHatm hai masala-e-aib-o-hunar aaj ke baad

    apni parwaz pe har lamha jo hogi tanqid

    kaise phailaenge hum bazu-o-par aaj ke baad

    ghol de sari fazaon mein KHuda amn hi amn

    KHun roen na kahin sham-o-sahar aaj ke baad

    koi jugnu hi sahi sath nibhaega zarur

    hai jo qismat mein ujalon ka safar aaj ke baad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now