Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

laun main kahan se bhala andaz-e-bayan aur

Alok Yadav

laun main kahan se bhala andaz-e-bayan aur

Alok Yadav

MORE BYAlok Yadav

    lā.ūñ maiñ kahāñ se bhalā andāz-e-bayāñ aur

    munsif zabāñ aur hai aur merī zabāñ aur

    ye dard samajhtā nahīñ ādāb-e-zamāna

    koshish ho chhupāne to hotā hai ayaañ aur

    qismat likhā maan le thoḌe se ziyāñ ko

    jā.egā adālat meñ to pā.egā ziyāñ aur

    tafsīl bayāñ kartā hai kyoñ apne amal

    is tarah to har shaḳhs pe guzregā gumāñ aur

    manzil pe pahuñch kar na huā dil jo mirā ḳhush

    pūchhī jo vaj.h us ne kahā aur amaañ aur

    tum se bhī kahāñ mujh ko samā.at tavaqqo

    mujh meñ bhī kahāñ baaqī hai ab tāb-e-fuġhāñ aur

    ye zulm ke sho.ale haiñ faqat ḳhuuñ se bujheñge

    ashkoñ se bujhāoge to uTThegā dhuāñ aur

    laun main kahan se bhala andaz-e-bayan aur

    munsif ki zaban aur hai aur meri zaban aur

    ye dard samajhta nahin aadab-e-zamana

    koshish ho chhupane ki to hota hai ayan aur

    qismat ka likha man le thoDe se ziyan ko

    jaega adalat mein to paega ziyan aur

    tafsil bayan karta hai kyon apne amal ki

    is tarah to har shaKHs pe guzrega guman aur

    manzil pe pahunch kar na hua dil jo mera KHush

    puchhi jo wajh us ne kaha aur aman aur

    tum se bhi kahan mujh ko samaat ki tawaqqo

    mujh mein bhi kahan baqi hai ab tab-e-fughan aur

    ye zulm ke shoale hain faqat KHun se bujhenge

    ashkon se bujhaoge to uTThega dhuan aur

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now